dhup ka zaiqa
dhuup kī sargoshī se
zamīn kī bhurnhurī miTTī murta.ish huī
safedī surḳhī meñ Dhalī
yā phir zarḳhezī banjar huī
hairat tazabzub kā shikār hai
thakan zindagī se baḌh rahī hai
ukhaḌtī sāñsoñ kī
alvidā'ī mahak se
kamra udaas hai
side Table pe dhare pen
aur diary
muntazir haiñ
shāyad
ki āḳhirī shaam un pe darj kī jaa.e
palkoñ ke pīchhe
chhupī āñkhoñ ke ḳhvāb niile ho chuke haiñ
intizār kī āḳhirī karvaT se sanjīda sī hañsī kī āmezish
lahū rang
āñsūoñ meñ ghul kar so ga.ī hai
dhuup kā zā.iqa hifz karnā āsān nahīñ hotā
dhup ki sargoshi se
zamin ki bhurnhuri miTTi murtaish hui
safedi surKHi mein Dhali
ya phir zarKHezi banjar hui
hairat tazabzub ka shikar hai
thakan zindagi se baDh rahi hai
ukhaDti sanson ki
alwida'i mahak se
kamra udas hai
side Table pe dhare pen
aur diary
muntazir hain
shayad
ki aaKHiri sham un pe darj ki jae
palkon ke pichhe
chhupi aankhon ke KHwab nile ho chuke hain
intizar ki aaKHiri karwaT se sanjida si hansi ki aamezish
lahu rang
aansuon mein ghul kar so gai hai
dhup ka zaiqa hifz karna aasan nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.