dhup-nagar
dhuup nagar ke baasī haiñ ham dhuup kī pahre-dārī hai
dhūp-nagar meñ dhuup ke ḳheme dhuup kī hī gul-kārī hai
dhuup falak par dhuup fazā meñ dhuup zamīñ par raqsāñ hai
dhuup havāoñ kā pairāhan har sū dhuup par-afshāñ hai
dhuup kī shāḳheñ dhuup ke patte dhuup kī kaliyāñ dhuup ke phuul
dhuup kī ye nagrī hai anokhī dhūp-zada haiñ is ke usuul
dhuup suroñ par naach rahī hai dil meñ utartī jaatī hai
bechainī aur betābi ke jalte giit sunātī hai
dhuup ne insānī zehnoñ meñ angāre dahkā.e haiñ
dhuup ne fikr-o-nazar meñ jaise sho.ale se bhaḌkā.e haiñ
dhūp-nagar meñ amn-o-sukūñ ke badle jang kī bāteñ haiñ
qatl-o-ġhārat ḳhuun aur lāsheñ dhuup kī hī sauġhāteñ haiñ
kyā jaane kab bādal aa.eñ kab chhā.e sāvan kī ghaTā
kab badle ye dhuup kā mausam lahrā.e sāvan kī havā
dhup nagar ke basi hain hum dhup ki pahre-dari hai
dhup-nagar mein dhup ke KHeme dhup ki hi gul-kari hai
dhup falak par dhup faza mein dhup zamin par raqsan hai
dhup hawaon ka pairahan har su dhup par-afshan hai
dhup ki shaKHen dhup ke patte dhup ki kaliyan dhup ke phul
dhup ki ye nagri hai anokhi dhup-zada hain is ke usul
dhup suron par nach rahi hai dil mein utarti jati hai
bechaini aur betabi ke jalte git sunati hai
dhup ne insani zehnon mein angare dahkae hain
dhup ne fikr-o-nazar mein jaise shoale se bhaDkae hain
dhup-nagar mein amn-o-sukun ke badle jang ki baaten hain
qatl-o-ghaarat KHun aur lashen dhup ki hi saughaten hain
kya jaane kab baadal aaen kab chhae sawan ki ghaTa
kab badle ye dhup ka mausam lahrae sawan ki hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.