diwali
diye chāroñ taraf har jā farozāñ dekhtā huuñ maiñ
nazar paḌtī hai jis par bhī daraḳhshāñ dekhtā huuñ maiñ
fazāoñ meñ ḳhushī kā raqs-e-'uryāñ dekhtā huuñ maiñ
vatan ko is ghaḌī farhat-badāmāñ dekhtā huuñ maiñ
'ilāj-e-tangī-e-dāmān-e-yārāñ chāhtā huuñ maiñ
nifāq-e-kufr-o-īmāñ ko gurezāñ chāhtā huuñ maiñ
munavvar siina ho jaa.e faroġh-e-sham'-e-ulfat se
dil-e-ahl-e-vatan ko bhī farozāñ chāhtā huuñ maiñ
añdherā ghar meñ ho bāhar ujālā ho to kyā hāsil
vatan vaalo diloñ meñ bhī ujālā chāhtā huuñ maiñ
diye chaaron taraf har ja farozan dekhta hun main
nazar paDti hai jis par bhi daraKHshan dekhta hun main
fazaon mein KHushi ka raqs-e-'uryan dekhta hun main
watan ko is ghaDi farhat-badaman dekhta hun main
'ilaj-e-tangi-e-daman-e-yaran chahta hun main
nifaq-e-kufr-o-iman ko gurezan chahta hun main
munawwar sina ho jae farogh-e-sham'-e-ulfat se
dil-e-ahl-e-watan ko bhi farozan chahta hun main
andhera ghar mein ho bahar ujala ho to kya hasil
watan walo dilon mein bhi ujala chahta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.