diwali ka sapna
dīvālī manānā aaj bhī
'aam baat nahīñ hai sab ke liye
hamāre liye aaj bhī ye
sapnoñ ke jaisā hai
na sar par baap ka saayā hai
aur na maañ ke paas itne paise haiñ ki
ham ko paTāḳhe dilā sake
maiñ plastic kī thailiyoñ meñ
muñh se havā bhartā huuñ
phir vo thailiyāñ phoḌtā huuñ
ḳhush hotī haiñ merī bahneñ
maañ mere liye har saal shirt letī hai
par bahnoñ ke liye banā detī hai
kuchh na kuchh apnī purānī saaḌī se
apne liye ka.ī sāloñ tak
kuchh nahīñ vo kuchh bhī nahīñ letī
aisī hotī hai hamārī dīvālī
phir bhī ham karte haiñ intizār
jis meñ rastoñ kī sajāvaT
amīroñ ke phūTte paTāḳhe
mahñgī lazīz miThā.iyāñ
saje bāzār meñ biktī mahñgī chīzeñ
bāzāroñ meñ TūTte ḳharīdār
shāyad yahī hamārī ḳhvāhish hai
shāyad ham paidā hī hue haiñ
ḳhvāb dekhne ke liye
aglī dīvālī ke intizār ke liye
diwali manana aaj bhi
'am baat nahin hai sab ke liye
hamare liye aaj bhi ye
sapnon ke jaisa hai
na sar par bap ka saya hai
aur na man ke pas itne paise hain ki
hum ko paTaKHe dila sake
main plastic ki thailiyon mein
munh se hawa bharta hun
phir wo thailiyan phoDta hun
KHush hoti hain meri bahnen
man mere liye har sal shirt leti hai
par bahnon ke liye bana deti hai
kuchh na kuchh apni purani saDi se
apne liye kai salon tak
kuchh nahin wo kuchh bhi nahin leti
aisi hoti hai hamari diwali
phir bhi hum karte hain intizar
jis mein raston ki sajawaT
amiron ke phuTte paTaKHe
mahngi laziz miThaiyan
saje bazar mein bikti mahngi chizen
bazaron mein TuTte KHaridar
shayad yahi hamari KHwahish hai
shayad hum paida hi hue hain
KHwab dekhne ke liye
agli diwali ke intizar ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.