diwar
samundar ḳhaan ik pashtū kā shā.ir
jā rahā thā gaañv se duur ek vīrāne meñ
yak dam ik jhapākā sā huā
aur zehn ke parde pe ik dhuñdlā hayūlā banñe aur miTne lagā
par shūmī-e-qismat qalam hī jeb meñ thā aur na kāġhaz kā koī purza
samundar ḳhaan ruk kar aur ik patthar pe Tik kar miich kar āñkhoñ ko
duniyā aur mā-fīhā se begāna huā
phir shaam ko gaañv ke logoñ ne ajab nazzāra dekhā
Dhalte sāyoñ meñ samundar ḳhaan vo pashtū kā shā.ir
Dagmagātā hāñptā apne pasīne meñ nahātā
piiTh par do man kī ik chaTTān laade
gaañv kī sarhad meñ dāḳhil ho rahā hai
aur us ke baa'd aadat ban ga.ī us kī
samundar ḳhaan vīrāne se bhārī sil
koī jab tak uThā ke ghar na laatā thā
to us par nazm kī ik satr tak ilqā na hotī thī
so rafta rafta us kī koTharī dālān aur chhat
an-ghaḌī be-Dhab siloñ ke bojh se dabte ga.e
ik din samundar ḳhaan vo pashtū kā shā.ir
khurdurī nazmoñ ke us ambār ke nīche dhañsā paayā gayā
samundar KHan ek pashtu ka shair
ja raha tha ganw se dur ek virane mein
yak dam ek jhapaka sa hua
aur zehn ke parde pe ek dhundla hayula banne aur miTne laga
par shumi-e-qismat qalam hi jeb mein tha aur na kaghaz ka koi purza
samundar KHan ruk kar aur ek patthar pe Tik kar mich kar aankhon ko
duniya aur ma-fiha se begana hua
phir sham ko ganw ke logon ne ajab nazzara dekha
Dhalte sayon mein samundar KHan wo pashtu ka shair
Dagmagata hanpta apne pasine mein nahata
piTh par do man ki ek chaTTan lade
ganw ki sarhad mein daKHil ho raha hai
aur us ke ba'd aadat ban gai us ki
samundar KHan virane se bhaari sil
koi jab tak uTha ke ghar na lata tha
to us par nazm ki ek satr tak ilqa na hoti thi
so rafta rafta us ki koThari dalan aur chhat
an-ghaDi be-Dhab silon ke bojh se dabte gae
ek din samundar KHan wo pashtu ka shair
khurduri nazmon ke us ambar ke niche dhansa paya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.