Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

diwar

MORE BYSahba lakhnavi

    ye añdhere

    ye añdheroñ meñ garajte hue tūfān shor

    merā maazī

    mirī ḳhūñ-gashta umīdoñ mazār

    ye rivāyāt-e-kuhan

    aur ġham-e-ayyām ke riste hue zaḳhm

    jaise dīvā-e-guzargāh-e-tamaddun ke shigāf

    vaqt ke phailte baḌhte hue sāyoñ ko liye

    aaj bhī zulmat-e-daurāñ hai sharīk-e-ġham-e-zīst

    aaj

    aur aaj ke ḳhvāboñ sunahrī gumbad

    apne maazī rivāyāt pe hai nauha-kunāñ

    jis ke atrāf meñ sadiyoñ tarah

    aaj bhī saikḌoñ bhūkoñ qatāreñ haiñ khaḌī

    kār-ḳhānoñ ke dafātir ke miloñ ke aage

    aur khaliyānoñ ke bāzāroñ ke chaurāhoñ ke

    ird-gird ek qatār

    ek lambī qatār

    log kahte haiñ ye bhūke haiñ ye nange haiñ ġharīb

    kaun kahtā hai ye nange haiñ ye bhūke haiñ ġharīb

    chīḳh kar dete haiñ aivān-e-hukūmat ye javāb

    ye añdhere

    ye añdheroñ kamīñ-gah ke luTeroñ fareb

    sāmrājoñ fareb

    āmriyyat faroġh

    aaj lau de ke bhaḌak uTThe haiñ riste hue zaḳhm

    in añdheroñ se kaho

    in añdheroñ kamīñ-gah ke luTeroñ se kaho

    duur ho jaa.eñ nigāhoñ se hamesha ke liye

    kal jo dīvār thī maazī ke añdheroñ amiiñ

    aaj kuchle hue insān girā.eñge use

    surḳhī-e-ḳhūñ tarah surḳh hai fardā bahār

    raushnī le ke baḌho aur baḌho aur baḌho

    ye andhere

    ye andheron mein garajte hue tufan ka shor

    mera mazi

    meri KHun-gashta umidon ka mazar

    ye riwayat-e-kuhan

    aur gham-e-ayyam ke riste hue zaKHm

    jaise diwa-e-guzargah-e-tamaddun ke shigaf

    waqt ke phailte baDhte hue sayon ko liye

    aaj bhi zulmat-e-dauran hai sharik-e-gham-e-zist

    aaj

    aur aaj ke KHwabon ka sunahri gumbad

    apne mazi ki riwayat pe hai nauha-kunan

    jis ke atraf mein sadiyon ki tarah

    aaj bhi saikDon bhukon ki qataren hain khaDi

    kar-KHanon ke dafatir ke milon ke aage

    aur khaliyanon ke bazaron ke chaurahon ke

    ird-gird ek qatar

    ek lambi si qatar

    log kahte hain ye bhuke hain ye nange hain gharib

    kaun kahta hai ye nange hain ye bhuke hain gharib

    chiKH kar dete hain aiwan-e-hukumat ye jawab

    ye andhere

    ye andheron ki kamin-gah ke luTeron ka fareb

    samrajon ka fareb

    aamriyyat ka farogh

    aaj lau de ke bhaDak uTThe hain riste hue zaKHm

    in andheron se kaho

    in andheron ki kamin-gah ke luTeron se kaho

    dur ho jaen nigahon se hamesha ke liye

    kal jo diwar thi mazi ke andheron ki amin

    aaj kuchle hue insan giraenge use

    surKHi-e-KHun ki tarah surKH hai farda ki bahaar

    raushni le ke baDho aur baDho aur baDho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now