diwaren
sadiyoñ guñg rahīñ dīvāreñ
aur phir ik shab jaane kaise
dīvāroñ par lafzoñ ke añgāre chamke
añgāroñ ne mil-jul kar sho.ale bhaḌkā.e
saare shahr meñ aag lagī
kāġhaz ke malbūs jale
kaale nañge jismoñ se bāzār bhare
āvāzoñ ke jhakkaḌ aa.e bādal chīḳhā
āñgan ke be-dāġh badan par
jalī huī haDDiyoñ ke ole
patthar ban kar baras paḌe
agle din jab ujlī dhuup pighalne aa.ī
sab ne dekhā
dīvāroñ ke lab niile the
sab nañgī thiiñ
ghaTte baḌhte sāyoñ kī gūñgī bhāshā meñ
bol rahī thiiñ
sadiyon gung rahin diwaren
aur phir ek shab jaane kaise
diwaron par lafzon ke angare chamke
angaron ne mil-jul kar shoale bhaDkae
sare shahr mein aag lagi
kaghaz ke malbus jale
kale nange jismon se bazar bhare
aawazon ke jhakkaD aae baadal chiKHa
aangan ke be-dagh badan par
jali hui haDDiyon ke ole
patthar ban kar baras paDe
agle din jab ujli dhup pighalne aai
sab ne dekha
diwaron ke lab nile the
sab nangi thin
ghaTte baDhte sayon ki gungi bhasha mein
bol rahi thin
- Book : Nirdbaan (Pg. 25)
- Author : Wazir Agha
- Publication : Nusrat Anwar (1979)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.