dil-e-betab Thahar
us se milne de nigāheñ dil-e-betāb Thahar
ishq kī khilne de rāheñ dil-e-betāb Thahar
koī dam meñ nigah-e-yār hai uThne vaalī
ho na jaa.e dil-e-betāb tirī pāmālī
dekhī jā.egī na phir terī pareshāñ-hālī
tū ne furqat meñ taḌapne kī qasam kyoñ khā lī
dil-e-betāb Thahar ai dil-e-betāb Thahar
us se iz.hār-e-tamannā to zarā karne de
vo jafā-jū hai jafā-gar hai jafā karne de
us ko karne bhī de majrūh-e-adā karne de
kyoñ karūñ tark-e-vafā mujh ko vafā karne de
dil-e-betāb Thahar ai dil-e-betāb Thahar
mastī-e-husn kā jī bhar ke nazārā kar luuñ
ḳhūgar-e-dard huuñ jiine kā sahārā kar luuñ
ġham judā.ī ke ba-sad-shauq gavārā kar luuñ
muztar-e-ishq huuñ kuchh zabt kā yaarā kar luuñ
dil-e-betāb Thahar ai dil-e-betāb Thahar
us se milne de nigāheñ dil-e-betāb Thahar
ishq kī khulne de rāheñ dil-e-betāb Thahar
us se milne de nigahen dil-e-betab Thahar
ishq ki khilne de rahen dil-e-betab Thahar
koi dam mein nigah-e-yar hai uThne wali
ho na jae dil-e-betab teri pamali
dekhi jaegi na phir teri pareshan-haali
tu ne furqat mein taDapne ki qasam kyon kha li
dil-e-betab Thahar ai dil-e-betab Thahar
us se izhaar-e-tamanna to zara karne de
wo jafa-ju hai jafa-gar hai jafa karne de
us ko karne bhi de majruh-e-ada karne de
kyon karun tark-e-wafa mujh ko wafa karne de
dil-e-betab Thahar ai dil-e-betab Thahar
masti-e-husn ka ji bhar ke nazara kar lun
KHugar-e-dard hun jine ka sahaara kar lun
gham judai ke ba-sad-shauq gawara kar lun
muztar-e-ishq hun kuchh zabt ka yara kar lun
dil-e-betab Thahar ai dil-e-betab Thahar
us se milne de nigahen dil-e-betab Thahar
ishq ki khulne de rahen dil-e-betab Thahar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.