dil-e-fasana-gar
fasāna-gar hai dil mirā
azal se muntazir hai
kab saje phir ek baar
dasht-e-kahkashāñ meñ vo suḳhan-sarā.iyoñ kī shab
safar se pahle māhtāb chheḌ de koī ġhazal
ġhazal jo gungunāne par na puurī yaad aa sake
ye hijr-e-tez-gām hai
badan kī silk Dhal rahī hai ret sī
ye raushnī pighal rahī hai ret sī
sitāre reg reg haiñ
ye sabz niile zard taare ghūrte haiñ mujh ko yuuñ
ki jaise mere qurmuzī firāq ne kiyā unheñ ravāñ ravāñ
ḳhalā.eñ mere har taraf
ḳhalā.eñ saat jihat ghūmtī huī
ḳhalā.eñ bārishoñ kī lai pe jhūmtī huī
magar ḳhalā meñ bārisheñ kahāñ
to phir ye kyā hai bārishoñ ke shor sā
ḳhalā ke ban meñ nāchtā hai mor sā
vo mujh ko mere aa.ine meñ chhup ke dekhtā hai kyā
dil-e-fasāna-gar batā duī kī ektā hai kyā
fasana-gar hai dil mera
azal se muntazir hai
kab saje phir ek bar
dasht-e-kahkashan mein wo suKHan-saraiyon ki shab
safar se pahle mahtab chheD de koi ghazal
ghazal jo gungunane par na puri yaad aa sake
ye hijr-e-tez-gam hai
badan ki silk Dhal rahi hai ret si
ye raushni pighal rahi hai ret si
sitare reg reg hain
ye sabz nile zard tare ghurte hain mujh ko yun
ki jaise mere qurmuzi firaq ne kiya unhen rawan rawan
KHalaen mere har taraf
KHalaen sat jihat ghumti hui
KHalaen barishon ki lai pe jhumti hui
magar KHala mein barishen kahan
to phir ye kya hai barishon ke shor sa
KHala ke ban mein nachta hai mor sa
wo mujh ko mere aaine mein chhup ke dekhta hai kya
dil-e-fasana-gar bata dui ki ekta hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.