dil-e-yas KHu
ye sub.h ab bhī hai itnī rangīñ
isī lagan se latīf kirnoñ kā jaal ab bhī
bichhā rahā hai hasīn sūraj
luTā rahī hai
ye sandhyā ab bhī siñdūr har-sū
ye chāñd ab bhī miThās dhartī ko de rahā hai
bikherte haiñ shamīm dil-kash nasīm ke jāñ-navāz jhoñke
vishāl ākāsh meñ dhanak kī ziyā kā jaadū nikhar gayā hai
magar ye saare manāzir-e-dil-fareb mere athāh ġham ko miTā na paa.e
udaas haiñ zehn-o-qalb aur yaas ek bandhan sā ban ga.ī hai
ki bujh ga.ī haiñ vafā kī sham'eñ
udaas din haiñ udaas rāteñ
ho jis tarah koī tiira jangal
ki jis kā sannāTā dil ke Dasne ko sar uThā.e
ye subh ab bhi hai itni rangin
isi lagan se latif kirnon ka jal ab bhi
bichha raha hai hasin suraj
luTa rahi hai
ye sandhya ab bhi sindur har-su
ye chand ab bhi miThas dharti ko de raha hai
bikherte hain shamim dil-kash nasim ke jaan-nawaz jhonke
wishaal aakash mein dhanak ki ziya ka jadu nikhar gaya hai
magar ye sare manazir-e-dil-fareb mere athah gham ko miTa na pae
udas hain zehn-o-qalb aur yas ek bandhan sa ban gai hai
ki bujh gai hain wafa ki sham'en
udas din hain udas raaten
ho jis tarah koi tera jangal
ki jis ka sannaTa dil ke Dasne ko sar uThae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.