dil
pūchho na mujh se ishq meñ kyā ho gayā hai dil
sar-chashma-e-ḳhulūs-o-vafā ho gayā hai dil
maiñ us ke jazb-e-shauq kī tāsīr kyā kahūñ
tujh sā hī ab to nām-e-ḳhudā ho gayā hai dil
kyā DhūñDhtī hai siina meñ ab o nigāh-e-nāz
muddat huī ki sarf-e-vafā ho gayā hai dil
kyā lutf hai ki saare zamāne kī hai ḳhabar
is kī ḳhabar nahīñ hai ki kyā ho gayā hai dil
ik iztirāb-e-shauq ki ik shauq-e-iztirāb
mujh ko ḳhabar nahīñ hai ki kyā ho gayā hai dil
maanā ki barq-e-husn bahut be-qarār hai
us se bhī kuchh taḌap meñ sivā ho gayā hai dil
ab be-sabab bhī ashk bhar aate haiñ aañkh meñ
kuchh is tarah kā dard-bharā ho gayā hai dil
TuuTe hue diloñ ne rulāyā hai is qadar
TuuTe hue diloñ kī sadā ho gayā hai dil
ye sach hai dil vo ḳhuub hai jo bā-ḳhudā rahe
yuuñ bhī magar huā hai ḳhudā ho gayā hai dil
phir kyoñ hai is ġharīb ke sar tohmat-e-ḳhudī
jo terī maslahat ne kahā ho gayā hai dil
nairangi-e-jahāñ kī hai saarī ḳhabar ise
phir bhī asīr-e-hirs-o-havā ho gayā hai dil
baiThā huuñ ro ke dil ko jo maiñ in dinoñ 'jalīl'
halkā misāl-e-mauj-e-sabā ho gayā hai dil
puchho na mujh se ishq mein kya ho gaya hai dil
sar-chashma-e-KHulus-o-wafa ho gaya hai dil
main us ke jazb-e-shauq ki tasir kya kahun
tujh sa hi ab to nam-e-KHuda ho gaya hai dil
kya DhunDhti hai sina mein ab o nigah-e-naz
muddat hui ki sarf-e-wafa ho gaya hai dil
kya lutf hai ki sare zamane ki hai KHabar
is ki KHabar nahin hai ki kya ho gaya hai dil
ek iztirab-e-shauq ki ek shauq-e-iztirab
mujh ko KHabar nahin hai ki kya ho gaya hai dil
mana ki barq-e-husn bahut be-qarar hai
us se bhi kuchh taDap mein siwa ho gaya hai dil
ab be-sabab bhi ashk bhar aate hain aankh mein
kuchh is tarah ka dard-bhara ho gaya hai dil
TuTe hue dilon ne rulaya hai is qadar
TuTe hue dilon ki sada ho gaya hai dil
ye sach hai dil wo KHub hai jo ba-KHuda rahe
yun bhi magar hua hai KHuda ho gaya hai dil
phir kyon hai is gharib ke sar tohmat-e-KHudi
jo teri maslahat ne kaha ho gaya hai dil
nairangi-e-jahan ki hai sari KHabar ise
phir bhi asir-e-hirs-o-hawa ho gaya hai dil
baiTha hun ro ke dil ko jo main in dinon 'jalil'
halka misal-e-mauj-e-saba ho gaya hai dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.