dilli
Interesting Fact
Dilli ki ik Shahr thaa aalam mein intikhaab
dillī ki is jahāñ meñ azīm-o-qadīm hai
ilm-o-fan-o-hunar kī sadā se na.iim hai
allāh is kī azmat-e-dīñ kā aliim hai
tafsīr-e-dil hadīs-e-ḳhudī kā fahīm hai
gītā-purān ke bhī fasāne meñ zikr hai
tārīḳh se bhī qabl zamāne meñ zikr hai
dillī kā pāḌavoñ ke tarāne meñ zikr hai
indar-prasth tak ke sajāne meñ zikr hai
dillī sadā se markaz-e-bazm-e-shahāñ rahī
samrāT chakrvartī o shāh-e-jahāñ rahī
pīrāna-sāl ho ke bhī har-dam javāñ rahī
pachchīs baar luT ke bhī ye kahkashāñ rahī
mañgol shak kushān darāviḌ ki hoon hoñ
vo āriya arab hoñ ki ahl-e-funūn huuñ
vaidik hoñ bodh jain ki ahl-e-junūn hoñ
qaum-e-arab ke hoñ ki musalmāñ ke ḳhuun hoñ
duniyā kī kitnī nasloñ ne is ko sajāyā hai
har dharm diin zaat ne is ko basāyā hai
sāre-jahāñ meñ ishq kā markaz rahī sadā
sāre-jahāñ meñ Dañkā isī shahr kā bajā
barbādiyoñ se aaj bachāo use rafīq
'gulzār'-e-hind phir se banāo ise rafīq
dilli ki is jahan mein azim-o-qadim hai
ilm-o-fan-o-hunar ki sada se naim hai
allah is ki azmat-e-din ka alim hai
tafsir-e-dil hadis-e-KHudi ka fahim hai
gita-puran ke bhi fasane mein zikr hai
tariKH se bhi qabl zamane mein zikr hai
dilli ka paDawon ke tarane mein zikr hai
indar-prasth tak ke sajaane mein zikr hai
dilli sada se markaz-e-bazm-e-shahan rahi
samraT chakrwarti o shah-e-jahan rahi
pirana-sal ho ke bhi har-dam jawan rahi
pachchis bar luT ke bhi ye kahkashan rahi
mangol shak kushan darawiD ki hoon hon
wo aariya arab hon ki ahl-e-funun hun
waidik hon bodh jain ki ahl-e-junun hon
qaum-e-arab ke hon ki musalman ke KHun hon
duniya ki kitni naslon ne is ko sajaya hai
har dharm din zat ne is ko basaya hai
sare-jahan mein ishq ka markaz rahi sada
sare-jahan mein Danka isi shahr ka baja
barbaadiyon se aaj bachao use rafiq
'gulzar'-e-hind phir se banao ise rafiq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.