din guzarta nazar nahin aata
din guzartā nazar nahīñ aatā
raat kaaTe nahīñ kaTtī
raat aur din ke is tasalsul meñ
umr bāñTe se bhī nahīñ baTtī
terī āvāz meñ taare se kyoñ chamakne lage
kis kī āñkhoñ ke tarannum ko churā laa.ī hai
kis kī āġhosh kī ThanDak pe Daakā Daalā hai
kis kī bāñhoñ se tū shabnam ko uThā laa.ī hai
din bahar-hāl bahar-taur guzar jaatā hai
shaam aatī hai to ajab rang le ke aatī hai
ek tanhā.ī jo maut kī tarah ḳhāmosh
har na.ī shaam nayā bhes badal aatī hai
haañ koī aur hogā tū ne jo dekhā hogā
ham nahīñ aag se bach bach ke guzarne vaale
sahar nasīb meñ ho to sahar milegī zarūr
vagarna zindagī kaT jā.egī bas raat kī raat
na intizār na aahaT na tamannā na umiid
zindagī hai ki yuuñ behis hotī jaatī hai
din guzarta nazar nahin aata
raat kaTe nahin kaTti
raat aur din ke is tasalsul mein
umr banTe se bhi nahin baTti
teri aawaz mein tare se kyon chamakne lage
kis ki aankhon ke tarannum ko chura lai hai
kis ki aaghosh ki ThanDak pe Daka Dala hai
kis ki banhon se tu shabnam ko uTha lai hai
din bahar-haal bahar-taur guzar jata hai
sham aati hai to ajab rang le ke aati hai
ek tanhai jo maut ki tarah KHamosh
har nai sham naya bhes badal aati hai
han koi aur hoga tu ne jo dekha hoga
hum nahin aag se bach bach ke guzarne wale
sahar nasib mein ho to sahar milegi zarur
wagarna zindagi kaT jaegi bas raat ki raat
na intizar na aahaT na tamanna na umid
zindagi hai ki yun behis hoti jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.