din ki aankhen to andhi ho hi chuki hain
par merī āñkheñ na jaane kyoñ sub.h hī se jalne lagtī haiñ
raat sulā to detī hai
magar phir din bhar jism par reñgtī rahtī hai
ammī
tumhāre na.e miTTī vaale ghar kā rasta
mere raste hī meñ paḌtā hai
lekin kyā karūñ
mere daftar kī bas to saat baje hī nikal jaatī hai
maiñ bas meñ baiTh to jaatī huuñ
lekin na jaane kyoñ der tak Tāñgeñ kāñptī rahtī haiñ
ammī
galī meñ aaj bhī vo pāgal phirtā rahtā hai
jis se bachāne kī ḳhātir
tum galī ke kone tak aa jaatī thiiñ
ammī
par meri aankhen na jaane kyon subh hi se jalne lagti hain
raat sula to deti hai
magar phir din bhar jism par rengti rahti hai
ammi
tumhaare nae miTTi wale ghar ka rasta
mere raste hi mein paDta hai
lekin kya karun
mere daftar ki bas to sat baje hi nikal jati hai
main bas mein baiTh to jati hun
lekin na jaane kyon der tak Tangen kanpti rahti hain
ammi
gali mein aaj bhi wo pagal phirta rahta hai
jis se bachane ki KHatir
tum gali ke kone tak aa jati thin
ammi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.