diye aankhon ki surat bujh chuke hain
vasl ke lamhoñ kī gintī karne vaale haath hiddat se tahī haiñ
mauj meñ aa.e hue dariyā meñ kashtī kaun Daale
māñjhiyoñ ke giit lahroñ kī tarah sāhil kī bhīgī ret par bikhre hue haiñ
ab kisī buḌhiyā kī gaThrī koī ahl-e-dil uThā kar bastiyoñ kā ruḳh nahīñ kartā
kisī ham-sā.e se ahvāl-e-dil ma.alūm karnā kār-e-be-ujrat huā hai
nafsī nafsī kī havā.eñ zaat ke tārīk jañgal meñ baḌī āsūdgī se chal rahī haiñ
ḳhāna-e-dil meñ vafāoñ ke diye āñkhoñ kī sūrat bujh chuke haiñ
bhiiḌ meñ rasta nahīñ miltā charāġhoñ kī qatāroñ meñ charāġh-e-gul nahīñ miltā ki jis par raushnī kā gul khilā ho
vasl ke lamhoñ meñ rañg-e-nūr bharne vaalī āñkheñ apnī narmī se tahī haiñ
vasl ke lamhoñ meñ rañg-e-ishq bharne vaalī poreñ apnī garmī se tahī haiñ
wasl ke lamhon ki ginti karne wale hath hiddat se tahi hain
mauj mein aae hue dariya mein kashti kaun Dale
manjhiyon ke git lahron ki tarah sahil ki bhigi ret par bikhre hue hain
ab kisi buDhiya ki gaThri koi ahl-e-dil uTha kar bastiyon ka ruKH nahin karta
kisi ham-sae se ahwal-e-dil malum karna kar-e-be-ujrat hua hai
nafsi nafsi ki hawaen zat ke tarik jangal mein baDi aasudgi se chal rahi hain
KHana-e-dil mein wafaon ke diye aankhon ki surat bujh chuke hain
bhiD mein rasta nahin milta charaghon ki qataron mein charagh-e-gul nahin milta ki jis par raushni ka gul khila ho
wasl ke lamhon mein rang-e-nur bharne wali aankhen apni narmi se tahi hain
wasl ke lamhon mein rang-e-ishq bharne wali poren apni garmi se tahi hain
- Book : Ibaraten (Pg. 189)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.