do chiDiyan
yaad hai aaj bhī mujh ko vo tarab-ḳhez samāñ
ik hasīñ shāḳh pe baiThī huī thiiñ do chiḌiyāñ
ishva-o-ġhamza andāz meñ thiiñ lā-sānī
un kī tasvīr se zāhir thā kamāl-e-mānī
un ke naġhmoñ se bahak jaatā thā gulshan saarā
un kī āvāz se ruk jaatā thā bahtā dhārā
un kī har taan pe ho jaatī thiiñ shāḳheñ raqsāñ
un ke har giit se ho jaate the ġhunche ḳhandāñ
dil meñ rakh lete the gul un kī adā.eñ chun kar
jhuum uThtī thī havā un kī sadā.eñ sun kar
us hasīñ shāḳh se ab uḌ ga.iiñ donoñ chiḌiyāñ
ab javānān-e-chaman karte haiñ fariyād-o-fuġhāñ
ho gayā ab chamanistāñ kā nazāra sunsān
rāste ho ga.e ḳhāmosh ravish hai vīrān
un hasīñ chiḌiyoñ se kartā thā mohabbat maiñ bhī
un ke naġhmoñ se basā letā thā jannat maiñ bhī
mujh se ab dekhī nahīñ jaatī hai vo vīrāñ shāḳh
mujh ko kar detī hai maġhmūm vo ab be-jāñ shāḳh
jab vo naġhme hī nahīñ haiñ to chaman hai bekār
us taraf jaao to chal jaatī hai dil par talvār
yaad hai aaj bhi mujh ko wo tarab-KHez saman
ek hasin shaKH pe baiThi hui thin do chiDiyan
ishwa-o-ghamza andaz mein thin la-sani
un ki taswir se zahir tha kamal-e-mani
un ke naghmon se bahak jata tha gulshan sara
un ki aawaz se ruk jata tha bahta dhaara
un ki har tan pe ho jati thin shaKHen raqsan
un ke har git se ho jate the ghunche KHandan
dil mein rakh lete the gul un ki adaen chun kar
jhum uThti thi hawa un ki sadaen sun kar
us hasin shaKH se ab uD gain donon chiDiyan
ab jawanan-e-chaman karte hain fariyaad-o-fughan
ho gaya ab chamanistan ka nazara sunsan
raste ho gae KHamosh rawish hai viran
un hasin chiDiyon se karta tha mohabbat main bhi
un ke naghmon se basa leta tha jannat main bhi
mujh se ab dekhi nahin jati hai wo viran shaKH
mujh ko kar deti hai maghmum wo ab be-jaan shaKH
jab wo naghme hi nahin hain to chaman hai bekar
us taraf jao to chal jati hai dil par talwar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.