do din ki chandni
vo ek din thā ki saarī duniyā ne aa ke tahzīb ham se sīkhī
ye ek din hai ki ham meñ ab husn-e-zāhirī hai na bātinī hai
vo ek din thā ki saarā aalam baḌhātā thā haath dostī kā
ye ek din hai ki ham se yāroñ ko aaj nafrat hai dushmanī hai
vo ek din thā ki ġhair qaumoñ se bhī hamārā thā bhā.ī-chāra
ye ek din hai ki aaj bhaa.ī kī apne bhaa.ī se bad-zanī hai
vo ek din thā ki apne ishrat-kadoñ pe raunaq baras rahī thī
ye ek din hai ki aaj apne gharoñ pe hirmāñ kī chhāvnī hai
vo ek din thā ki ham ne jamhūriyat kī ta.alīm aam kī thī
ye ek din hai ki aaj zindāñ hai aur zanjīr āhanī hai
vo ek din thā ki zindagī apnī kaT rahī thī hañsī-ḳhushī meñ
ye ek din hai ki jiite jī mar chuke haiñ chehre pe murdanī hai
jo vo zamāna nahīñ rahā hai to ye zamāna bhī kaT rahegā
uruuj do din kā mehmāñ hai faroġh do din kī chāñdnī hai
wo ek din tha ki sari duniya ne aa ke tahzib hum se sikhi
ye ek din hai ki hum mein ab husn-e-zahiri hai na baatini hai
wo ek din tha ki sara aalam baDhata tha hath dosti ka
ye ek din hai ki hum se yaron ko aaj nafrat hai dushmani hai
wo ek din tha ki ghair qaumon se bhi hamara tha bhai-chaara
ye ek din hai ki aaj bhai ki apne bhai se bad-zani hai
wo ek din tha ki apne ishrat-kadon pe raunaq baras rahi thi
ye ek din hai ki aaj apne gharon pe hirman ki chhawni hai
wo ek din tha ki hum ne jamhuriyat ki talim aam ki thi
ye ek din hai ki aaj zindan hai aur zanjir aahani hai
wo ek din tha ki zindagi apni kaT rahi thi hansi-KHushi mein
ye ek din hai ki jite ji mar chuke hain chehre pe murdani hai
jo wo zamana nahin raha hai to ye zamana bhi kaT rahega
uruj do din ka mehman hai farogh do din ki chandni hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.