do paDosi
zafar bhaa.ī ko saarā shahr jaane
unheñ mīThī zabāñ dī hai ḳhudā ne
muḳhātab piir se hoñ yā javāñ se
ajab shīrīniyāñ Tapkeñ zabāñ se
vo do ho tiin ho yā chār-harfī
sabhī alfāz goyā taaza barfī
qalam kī saltanat ke haiñ sipāhī
suḳhan hai martabān-e-bālū-shāhī
unheñ nisbat hai goyā bulbuloñ se
mulā.em lafz mīThe gulguloñ se
mohabbat se sabhī ko joḌte haiñ
jalebī jaise shoshe chhoḌte haiñ
diloñ ko un kī jānib log phereñ
ki jaise sham.a ko parvāne ghereñ
paḌosī un ke haiñ muñh-zor bhaa.ī
idhar vo aur udhar saarī ḳhudā.ī
ḳhudā lagtī kabhī kahte nahīñ haiñ
vo ghul-mil kar kabhī rahte nahīñ haiñ
sabhī hamsā.e un ke bolte haiñ
marāsim meñ vo talḳhī gholte haiñ
hamesha pīchhe vo paise ke bhāge
zabāñ tezī meñ hai nashtar se aage
kaleje par chalā kar tiir chhoḌeñ
sabhī ko kar ke vo dil-gīr chhoḌeñ
zabāñ kab vo shakar-āmez karte
vo is mīThe se bhī parhez karte
bachā.e har shanāsā apnā dāman
ki hai bezār vīrāne se gulshan
zafar bhai ko sara shahr jaane
unhen miThi zaban di hai KHuda ne
muKHatab pir se hon ya jawan se
ajab shiriniyan Tapken zaban se
wo do ho tin ho ya chaar-harfi
sabhi alfaz goya taza barfi
qalam ki saltanat ke hain sipahi
suKHan hai martaban-e-baalu-shahi
unhen nisbat hai goya bulbulon se
mulaem lafz miThe gulgulon se
mohabbat se sabhi ko joDte hain
jalebi jaise shoshe chhoDte hain
dilon ko un ki jaanib log pheren
ki jaise shama ko parwane gheren
paDosi un ke hain munh-zor bhai
idhar wo aur udhar sari KHudai
KHuda lagti kabhi kahte nahin hain
wo ghul-mil kar kabhi rahte nahin hain
sabhi hamsae un ke bolte hain
marasim mein wo talKHi gholte hain
hamesha pichhe wo paise ke bhage
zaban tezi mein hai nashtar se aage
kaleje par chala kar tir chhoDen
sabhi ko kar ke wo dil-gir chhoDen
zaban kab wo shakar-amez karte
wo is miThe se bhi parhez karte
bachae har shanasa apna daman
ki hai bezar virane se gulshan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.