Dor sanson ki
darvāze se Takrā kar
andar aatī havāoñ meñ zindagī thī
us se inkār kī qīmat kisī ne nahīñ pūchhī
bas phephaḌoñ ne ḳhud ko taqsīm kar diyā
maiñ saañs lenā chāhtā huuñ
khulī fazā meñ
lekin bhar chukā hai zahr
merī duā meñ
vo sab mil kar dhakelte haiñ mujhe
ġhāroñ meñ
jahāñ merā pathrāyā huā badan
merā ḳhuun māñgtā hai
jis meñ tairte haiñ ghuTan ke bulbule
phaTte haiñ mere jazboñ kī tarah
āvāz kisī drone kī
jo dhīmī aur mohlik hai
uchhāl detī hai
numūdār hone vaalī lakīroñ kī taraf
jin kī atrāf meñ ghuTan
pāgal-pan meñ har shai taqsīm kartī hai
taqsīm kartī hai phephḌe
jinheñ apnī sāñsoñ kī Dor se
bāñdhnā chāhtā huuñ
darwaze se Takra kar
andar aati hawaon mein zindagi thi
us se inkar ki qimat kisi ne nahin puchhi
bas phephaDon ne KHud ko taqsim kar diya
main sans lena chahta hun
khuli faza mein
lekin bhar chuka hai zahr
meri dua mein
wo sab mil kar dhakelte hain mujhe
ghaaron mein
jahan mera pathraya hua badan
mera KHun mangta hai
jis mein tairte hain ghuTan ke bulbule
phaTte hain mere jazbon ki tarah
aawaz kisi drone ki
jo dhimi aur mohlik hai
uchhaal deti hai
numudar hone wali lakiron ki taraf
jin ki atraf mein ghuTan
pagal-pan mein har shai taqsim karti hai
taqsim karti hai phephDe
jinhen apni sanson ki Dor se
bandhna chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.