Dor
bādal barkhā nadiyāñ sāgar
sāgar bādal barkhā nadiyāñ
ek Dor kā hissa haiñ
fardā ke sāñche meñ
kal aur aaj yuuñ hī Dhal jaate haiñ
kal aur aaj aur kal aapas meñ
judā nahiñ ho paate haiñ
guzre lamhe ḳhatm nahiñ ho jaate haiñ
merā nazāra merī nazar
mere havāle mere tevar
merā talaffuz merī zabān
merī jihālat merā gyaan
mere taḳhayyul mere ruj.hān
merā piñjrā merī uḌaan
merī chaal aur merā Dhab
merī hastī merī zaat
sab jazbāt aur sab hālāt
TukḌoñ meñ nahīñ baT sakte
merā maazī hāzir hai
merā fardā nāzir hai
kal aaj aur kal aapas meñ
judā nahīñ ho paate haiñ
guzre lamhe ḳhatm nahīñ ho paate haiñ
baadal barkha nadiyan sagar
sagar baadal barkha nadiyan
ek Dor ka hissa hain
farda ke sanche mein
kal aur aaj yun hi Dhal jate hain
kal aur aaj aur kal aapas mein
juda nahin ho pate hain
guzre lamhe KHatm nahin ho jate hain
mera nazara meri nazar
mere hawale mere tewar
mera talaffuz meri zaban
meri jihaalat mera gyan
mere taKHayyul mere rujhan
mera pinjra meri uDan
meri chaal aur mera Dhab
meri hasti meri zat
sab jazbaat aur sab haalat
TukDon mein nahin baT sakte
mera mazi hazir hai
mera farda nazir hai
kal aaj aur kal aapas mein
juda nahin ho pate hain
guzre lamhe KHatm nahin ho pate hain
- Book : Namak (Pg. 50)
- Author : Subodh Saaqi
- Publication : Arshia Publications (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.