dost se
hameñ zamāne ke afkār se ġharaz kyā hai
jahāñ meñ ranj-o-masā.ib se kaun bachtā hai
ik aa.e din ke taġhayyur kā naam duniyā hai
hamāre apne ḳhayālāt ranj-o-rāhat haiñ
ai dost aa ki javānī kī yaad meñ gaa.eñ
fasāne ahd-e-mohabbat ke mil ke dohrā.eñ
phir apne par vahī biitā zamāna le aa.eñ
hamārī zindagī raushan hai un fasānoñ se
guloñ kī oT meñ chhuptī huī mulāqāteñ
lajā lajā ke tumhārī vo pyaar kī bāteñ
mire dimāġh pe chhā.ī haiñ vo javāñ rāteñ
hamāre kitne hasīñ ḳhvāb the javānī ke
mire javānī ke ḳhvāboñ meñ muskurāte ho
mire ḳhayāl kī duniyā meñ chhup ke aate ho
mire hasīn irādoñ pe jhūme jaate ho
tumhāre husn se hai zindagī hasīñ merī
hamārā ishq haqīqat meñ jāvedānī hai
hamārī ziist kā har lamha ġhair-fānī hai
hamārī zindagī ik mustaqil kahānī hai
jahāñ ko yaad rahegā hamārā afsāna
hamein zamane ke afkar se gharaz kya hai
jahan mein ranj-o-masaib se kaun bachta hai
ek aae din ke taghayyur ka nam duniya hai
hamare apne KHayalat ranj-o-rahat hain
ai dost aa ki jawani ki yaad mein gaen
fasane ahd-e-mohabbat ke mil ke dohraen
phir apne par wahi bita zamana le aaen
hamari zindagi raushan hai un fasanon se
gulon ki oT mein chhupti hui mulaqaten
laja laja ke tumhaari wo pyar ki baaten
mere dimagh pe chhai hain wo jawan raaten
hamare kitne hasin KHwab the jawani ke
mere jawani ke KHwabon mein muskuraate ho
mere KHayal ki duniya mein chhup ke aate ho
mere hasin iradon pe jhume jate ho
tumhaare husn se hai zindagi hasin meri
hamara ishq haqiqat mein jawedani hai
hamari zist ka har lamha ghair-fani hai
hamari zindagi ek mustaqil kahani hai
jahan ko yaad rahega hamara afsana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.