dost shikari
Interesting Fact
(تلور کا شکار کرنے والے بے رحم عرب شہزادوں اور ان کے سہولت کاروں کی نذر)
hamāre rohī meñ kuchh parinde
dukhoñ ke maare hue musāfir
hazār mīloñ se kar ke hijrat
panāh lete haiñ is yaqīñ par
ki vo haiñ mehmān is zamīñ par
jahāñ ke baasī hazār sāloñ se
in parindoñ ko jānte haiñ
aur un ko apnā bhī mānte haiñ
magar ye sab be-vatan parinde
dukhoñ ke maare hue musāfir
hamārī niyyat se be-ḳhabar haiñ
unheñ to ye bhī ḳhabar nahīñ hai
ki rohī vaale badal chuke haiñ
gulāb kāñToñ meñ Dhal chuke haiñ
jo saañp kamsin the pal chuke haiñ
unheñ to ye bhī ḳhabar nahīñ hai
ki mehrbāñ mezbān un ke
kisī kī uñglī ke ik ishāre pe
aaj qātil bane hue haiñ
aur un kī jānib se har saḌak par
hazāroñ banner lage hue haiñ
ki jin pe ye be-zamīr jumle
qalam se zar ke likhe hue haiñ
ki shaiḳh-zādo chale bhī aao
chale bhī aao chale bhī aao
yahāñ ke baasī yahāñ ke shahrī
tumhārī furqat meñ mar rahe haiñ
shikār ke din guzar rahe haiñ
so ham ġharīboñ pe raham khaao
chale bhī aao chale bhī aao
ki be-vatan be-amāñ musāfir
hamāre mehmān sab parinde
dukhoñ ke maare hue muhājir
tumhārī golī ke muntazir haiñ
lahū kī holī ke muntazir haiñ
hamare rohi mein kuchh parinde
dukhon ke mare hue musafir
hazar milon se kar ke hijrat
panah lete hain is yaqin par
ki wo hain mehman is zamin par
jahan ke basi hazar salon se
in parindon ko jaante hain
aur un ko apna bhi mante hain
magar ye sab be-watan parinde
dukhon ke mare hue musafir
hamari niyyat se be-KHabar hain
unhen to ye bhi KHabar nahin hai
ki rohi wale badal chuke hain
gulab kanTon mein Dhal chuke hain
jo sanp kamsin the pal chuke hain
unhen to ye bhi KHabar nahin hai
ki mehrban mezban un ke
kisi ki ungli ke ek ishaare pe
aaj qatil bane hue hain
aur un ki jaanib se har saDak par
hazaron banner lage hue hain
ki jin pe ye be-zamir jumle
qalam se zar ke likhe hue hain
ki shaiKH-zado chale bhi aao
chale bhi aao chale bhi aao
yahan ke basi yahan ke shahri
tumhaari furqat mein mar rahe hain
shikar ke din guzar rahe hain
so hum gharibon pe raham khao
chale bhi aao chale bhi aao
ki be-watan be-aman musafir
hamare mehman sab parinde
dukhon ke mare hue muhajir
tumhaari goli ke muntazir hain
lahu ki holi ke muntazir hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.