drug store
agar maiñ jism huuñ to sar se paañv tak maiñ jism huuñ
agar maiñ ruuh huuñ to phir tamām-tar maiñ ruuh huuñ
ḳhudā se merā silsila vahī hai jo sabā se hai
agar maiñ sabz peḌ huuñ
to ruuh aur jism kī
vo kaun sī hadeñ haiñ fāsloñ meñ jo badal ga.iiñ
zamīn merī kaun hai
chamaktā nīl-gūñ hasīn āsmān kaun hai
jo barg o gul meñ dhīre dhīre jazb ho rahī hai dhuup
zard dhuup kyuuñ mujhe aziiz hai
ye sochtā huuñ sab magar maiñ tāqchoñ meñ band yuuñ
maiñ naam koī DhūñDhtā huuñ aaj apne karb kā
talāsh kar rahā huuñ ek ek pal
qatār-dar-qatār shīshoñ ke is hujūm meñ
vo āsmān kyā huā vo sabz peḌ kyā huā
jigar meñ aag thī magar jigar sufūf ban gayā
jo surḳh thā kabhī mirā lahū sapīd ho gayā
maiñ boTiyoñ meñ kaT gayā
maiñ dhajjiyoñ meñ nuch gayā
yahāñ pe merī raushnī, yahāñ pe merī zindagī
saped, surḳh, zard, nīlgūñ, siyāh, labloñ meñ baT ga.ī
sabā kī rahguzar se duur haT ga.ī
agar main jism hun to sar se panw tak main jism hun
agar main ruh hun to phir tamam-tar main ruh hun
KHuda se mera silsila wahi hai jo saba se hai
agar main sabz peD hun
to ruh aur jism ki
wo kaun si haden hain faslon mein jo badal gain
zamin meri kaun hai
chamakta nil-gun hasin aasman kaun hai
jo barg o gul mein dhire dhire jazb ho rahi hai dhup
zard dhup kyun mujhe aziz hai
ye sochta hun sab magar main taqchon mein band yun
main nam koi DhunDhta hun aaj apne karb ka
talash kar raha hun ek ek pal
qatar-dar-qatar shishon ke is hujum mein
wo aasman kya hua wo sabz peD kya hua
jigar mein aag thi magar jigar sufuf ban gaya
jo surKH tha kabhi mera lahu sapid ho gaya
main boTiyon mein kaT gaya
main dhajjiyon mein nuch gaya
yahan pe meri raushni, yahan pe meri zindagi
saped, surKH, zard, nilgun, siyah, lablon mein baT gai
saba ki rahguzar se dur haT gai
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 421)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.