dua
zindagī sham' kī sūrat ho ḳhudāyā merī
māñgtā thā ye du'ā
shām-o-sahar bachpan meñ
jaane kyā roz thā kyā vaqt thā kyā lamha thā
dar-e-tāsīr khulā thā
ki ḳhudā 'arsh-e-barīñ se
chalā aaya thā zamīñ par
nuur ik chamkā kuchh aisā ki mire siine meñ
aag sī ek lagī
aur phir baḌhtī rahī rag rag meñ
aur ab haal ye hai
jism kā koī bhī ang
aag se ḳhālī nahīñ
na koī phūñk na tūfāñ
aag phailī hī chalī jaatī hai
maiñ pighaltā hī chalā jaatā huuñ
zindagi sham' ki surat ho KHudaya meri
mangta tha ye du'a
sham-o-sahar bachpan mein
jaane kya roz tha kya waqt tha kya lamha tha
dar-e-tasir khula tha
ki KHuda 'arsh-e-barin se
chala aaya tha zamin par
nur ek chamka kuchh aisa ki mere sine mein
aag si ek lagi
aur phir baDhti rahi rag rag mein
aur ab haal ye hai
jism ka koi bhi ang
aag se KHali nahin
na koi phunk na tufan
aag phaili hi chali jati hai
main pighalta hi chala jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.