dua
har haal rahūñ ḳhush vo tabī'at mujhe de de
daulat kī jagah sabr-o-qanā.at mujhe de de
rāzī-ba-razā rahne kī fitrat mujhe de de
phir terī razā koī aziyyat mujhe de de
gar bārish-e-rahmat pe mirā haq nahīñ maulā
sahrā kī tapish sahne kī tāqat mujhe de de
ik fikr-e-suḳhan chhoḌ ke aatā hai mujhe kyā
is ek hunar meñ to mahārat mujhe de de
jiite jī dikhā mujh ko sadā rāh-e-sadāqat
maut aane pe mauqa-e-shahādat mujhe de de
har haal rahun KHush wo tabi'at mujhe de de
daulat ki jagah sabr-o-qanaat mujhe de de
raazi-ba-raza rahne ki fitrat mujhe de de
phir teri raza koi aziyyat mujhe de de
gar barish-e-rahmat pe mera haq nahin maula
sahra ki tapish sahne ki taqat mujhe de de
ek fikr-e-suKHan chhoD ke aata hai mujhe kya
is ek hunar mein to mahaarat mujhe de de
jite ji dikha mujh ko sada rah-e-sadaqat
maut aane pe mauqa-e-shahadat mujhe de de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.