dua
nik.hat-o-nūr kī Dhālī huī is duniyā meñ
bojh mahrūmī kā shānoñ pe liye
lambī pur-pech sī rāhoñ pe
bhaTaktī hai hayāt
jaane kab se yūñhī āvāra fuzūl
udaas aur malūl
ai ḳhudā mere ḳhudā
mālik-e-arz-o-samā
ḳhāliq-e-kaun-o-makāñ
chhīn le mujh se bas ab
mere ehsās kī vāmāñda magar tund tapish
baḳhsh de mujh ko sukūñ
kar atā chañd ḳhushī ke lamhe
koī pal maiñ bhī jiyūñ
nik.hat-o-nūr ke sāñche meñ Dhalī
terī is duniyā meñ
nikhat-o-nur ki Dhaali hui is duniya mein
bojh mahrumi ka shanon pe liye
lambi pur-pech si rahon pe
bhaTakti hai hayat
jaane kab se yunhi aawara fuzul
udas aur malul
ai KHuda mere KHuda
malik-e-arz-o-sama
KHaliq-e-kaun-o-makan
chhin le mujh se bas ab
mere ehsas ki wamanda magar tund tapish
baKHsh de mujh ko sukun
kar ata chand KHushi ke lamhe
koi pal main bhi jiyun
nikhat-o-nur ke sanche mein Dhali
teri is duniya mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.