dua
taptī huuñ ret pe dariyā kī tarā.ī de de
kab kahā maiñ ne mujhe saarī ḳhudā.ī de de
maskan-e-ḳhāk bhañvar ḳhauf ke aur mauj-e-havā
ek qatra huuñ samundar meñ rasā.ī de de
baal khole hue Daa.in sī Darātī hai hayāt
dil ko idrāk-e-rah-e-uqda-kushā.ī de de
aur qānūn banā koī zamāne ke liye
past auhām se zehnoñ ko rihā.ī de de
merī āñkhoñ meñ dhuāñ hai ki añdherā hai jahāñ
dil kī vo sham.a jo duniyā ne bujhā.ī de de
kabhī aisā bhī ho maiñ ḳhud ko na dekhūñ tanhā
merī sochoñ se kabhī mujh ko rihā.ī de de
itnī tanvīr ki maiñ aks hī dekhūñ apnā
ek shab mujh ko bhī tāroñ kī kamā.ī de de
aaj phir gherā hai sahrāoñ ne bastī ko mirī
phir mujhe zauq-e-junūñ ābla-pā.ī de de
tapti hun ret pe dariya ki tarai de de
kab kaha main ne mujhe sari KHudai de de
maskan-e-KHak bhanwar KHauf ke aur mauj-e-hawa
ek qatra hun samundar mein rasai de de
baal khole hue Dain si Daraati hai hayat
dil ko idrak-e-rah-e-uqda-kushai de de
aur qanun bana koi zamane ke liye
past auham se zehnon ko rihai de de
meri aankhon mein dhuan hai ki andhera hai jahan
dil ki wo shama jo duniya ne bujhai de de
kabhi aisa bhi ho main KHud ko na dekhun tanha
meri sochon se kabhi mujh ko rihai de de
itni tanwir ki main aks hi dekhun apna
ek shab mujh ko bhi taron ki kamai de de
aaj phir ghera hai sahraon ne basti ko meri
phir mujhe zauq-e-junun aabla-pai de de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.