dua
yā rab falak se ūñchā is desh ko uThā de
mere chaman ko sab se achchhā chaman banā de
izzat baḌoñ kī karnā chhoToñ se pyaar karnā
duniyā kī saarī achchhī bāteñ hameñ sikhā de
manzil nasīb karnā gumrāhī se bachānā
jo sīdhe rāste haiñ un par hameñ chalā de
mahfūz rakhnā shāḳheñ bulbul ke āshiyāñ kī
is gulsitāñ meñ yā rab phuul amn ke khilā de
har phuul har kalī kī kartā rahūñ hifāzat
jannat se is chaman kā maalī mujhe banā de
baḌhte hue añdhere nafrat ke ḳhatm kar ke
har dil meñ ektā kī ik sham.a phir jalā de
har peḌ is chaman kā phūle phale hamesha
gahvāra shāñtī kā yā rab ise banā de
ya rab falak se uncha is desh ko uTha de
mere chaman ko sab se achchha chaman bana de
izzat baDon ki karna chhoTon se pyar karna
duniya ki sari achchhi baaten hamein sikha de
manzil nasib karna gumrahi se bachana
jo sidhe raste hain un par hamein chala de
mahfuz rakhna shaKHen bulbul ke aashiyan ki
is gulsitan mein ya rab phul amn ke khila de
har phul har kali ki karta rahun hifazat
jannat se is chaman ka mali mujhe bana de
baDhte hue andhere nafrat ke KHatm kar ke
har dil mein ekta ki ek shama phir jala de
har peD is chaman ka phule phale hamesha
gahwara shanti ka ya rab ise bana de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.