dubli-patli
shagun bharī ḳhvāb se jaḌī hai
zamāna raftār se bañdhā hai
zamāne ko aap zaid kah leñ
bakar ko samjheñ
mujhe samajh leñ yā ḳhud ko kah leñ
zamāna raftār se bañdhā hai
shagun bharī kā vo ḳhvāb vo āftāb raushan hai
jo
ufuq ke muhīt ko rauñdtā nikaltā hai
shab ke isfanj se syāhī nichoḌtā hai
vo niiñd aur niiñd ke añdheroñ kī kokh ko toḌtā hai
vo
vaqt kī yaḳh-ālūda jhiil ko chhedtā hai
to sāniye ubalte haiñ
jaise jaise shagun bharī kī buḳhār vaalī safed āñkhoñ se jaise motī Tapak rahe hoñ
zamāna raftār se bañdhā hai
vo tez raftār jai jai vintī kī rāgnī kī dhunoñ pe raqsāñ hai
maut se be-ḳhabar zamīñ kī nihāyatoñ se varā nikaltā
vo apnī raftār se bañdhā hai
ye kaisī samteñ haiñ jo kahīñ bhī nahīñ nikaltīñ
ye kaisā tūfāñ hai jo musalsal hai
zindagānī mahā-bhañvar hai
zamāna be-jān ek tinkā
koī tarāzū hai
jis kā shāhīñ kahīñ nahīñ hai
zamāna gahrā kuaañ ghaḌī kī 'azīm aur lā-zavāl Tik-Tik
kī laal kaThnā.iyāñ
zamīñ kī nihāyateñ aur
alag kamre meñ khelte be-niyāz bachche aur un kī aayā
sab ek palḌe se juḌ rahe haiñ
aur
ek palḌe meñ dublī-patlī shagun bharī hai
shagun bharī ḳhvāb se jaḌī hai
shagun bhari KHwab se jaDi hai
zamana raftar se bandha hai
zamane ko aap zaid kah len
bakar ko samjhen
mujhe samajh len ya KHud ko kah len
zamana raftar se bandha hai
shagun bhari ka wo KHwab wo aaftab raushan hai
jo
ufuq ke muhit ko raundta nikalta hai
shab ke isfanj se syahi nichoDta hai
wo nind aur nind ke andheron ki kokh ko toDta hai
wo
waqt ki yaKH-aluda jhil ko chhedta hai
to saniye ubalte hain
jaise jaise shagun bhari ki buKHar wali safed aankhon se jaise moti Tapak rahe hon
zamana raftar se bandha hai
wo tez raftar jai jai winti ki ragni ki dhunon pe raqsan hai
maut se be-KHabar zamin ki nihayaton se wara nikalta
wo apni raftar se bandha hai
ye kaisi samten hain jo kahin bhi nahin nikaltin
ye kaisa tufan hai jo musalsal hai
zindagani maha-bhanwar hai
zamana be-jaan ek tinka
koi taraazu hai
jis ka shahin kahin nahin hai
zamana gahra kuan ghaDi ki 'azim aur la-zawal Tik-Tik
ki lal kaThnaiyan
zamin ki nihayaten aur
alag kamre mein khelte be-niyaz bachche aur un ki aaya
sab ek palDe se juD rahe hain
aur
ek palDe mein dubli-patli shagun bhari hai
shagun bhari KHwab se jaDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.