dukh ki baat
vo din bhī kaise din the
jab terī palkoñ ke saa.e
shaam kī gahrī udāsī ban ke
mirī ruuh meñ jaadū jagāte the
mirī āñkhoñ meñ nīndeñ
tere bāloñ kī tarah aise subuk se jaal bantī thiiñ
ki jo halqa-ba-halqa ḳhvāb-andar-ḳhvāb
anjāne zamānoñ kī gurezāñ sā.atoñ par
abr kī sūrat baraste the
badalte mausamoñ kī tarah tere jism par aalim guzarte the
mirī jaañ to bahār-e-jāvedāñ kā ek mausam thī
jo merī ruuh meñ aayā
mujhe kyuuñ yaad aate haiñ
vo din
javāb na ā.eñge
na ā.eñge to phir kyuuñ yaad aate haiñ
vo din bhī kaise din the
jab merī bedāriyoñ kī sarhadeñ ḳhvāboñ se miltī thiiñ
vo bāteñ jo ki nā-mumkin haiñ mumkin thiiñ
jahāñ bas soch lenā aur ho jaanā barābar thā
tujhe kyā yaad hai vo din
ki jab harf-e-shikāyat kī girah sī paḌ ga.ī thī
mere siine meñ
merī āzurdagī se shaam ke chehre pe zardī thī
maiñ tere paas baiThā sochtā thā
jaane kyā kyā sochtā thā
tujhe kyā yaad hai
tū ne kahā thā
maiñ dil kī baat agar us se bhī
kah saktī to kah detī
ki mere jism meñ do dil dhaḌakte haiñ
tumhāre vāste bhī
jo dushman-e-jāñ hai
wo din bhi kaise din the
jab teri palkon ke sae
sham ki gahri udasi ban ke
meri ruh mein jadu jagate the
meri aankhon mein ninden
tere baalon ki tarah aise subuk se jal banti thin
ki jo halqa-ba-halqa KHwab-andar-KHwab
anjaane zamanon ki gurezan saaton par
abr ki surat baraste the
badalte mausamon ki tarah tere jism par aalim guzarte the
meri jaan to bahaar-e-jawedan ka ek mausam thi
jo meri ruh mein aaya
mujhe kyun yaad aate hain
wo din
jawab na aaenge
na aaenge to phir kyun yaad aate hain
wo din bhi kaise din the
jab meri bedariyon ki sarhaden KHwabon se milti thin
wo baaten jo ki na-mumkin hain mumkin thin
jahan bas soch lena aur ho jaana barabar tha
tujhe kya yaad hai wo din
ki jab harf-e-shikayat ki girah si paD gai thi
mere sine mein
meri aazurdagi se sham ke chehre pe zardi thi
main tere pas baiTha sochta tha
jaane kya kya sochta tha
tujhe kya yaad hai
tu ne kaha tha
main dil ki baat agar us se bhi
kah sakti to kah deti
ki mere jism mein do dil dhaDakte hain
tumhaare waste bhi
jo dushman-e-jaan hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 270)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.