Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Dubti kirnen

Shabnam Munavari

Dubti kirnen

Shabnam Munavari

MORE BYShabnam Munavari

    vo paivasta nigāheñ apne siine meñ utar jaa.eñ

    tarastī aatmā ko lamha-bhar to chain aa jaa.e

    bikhartī sā.ateñ phir ek nuqta meñ simaT jaa.eñ

    machaltī chāñdī kohsār ke dāman pe lahrā.e

    falak ke nīlgūñ sāgar sarāpā nuur ban jaa.eñ

    magar maiñ ne sunā hai chāñdnī jab yuuñ utartī hai

    to niile pāniyoñ meñ gūñjtī maujeñ ulajhtī haiñ

    ujāle tīrgī se aa lipaTte haiñ to ujle pairahan bhī bhiig jaate haiñ

    kahīñ aisā na ho koī ubhartī mauj bal khātī dāman bhigo de

    aur maiñ mahrūmiyoñ kashtiyoñ meñ sāhiloñ se duur ho jā.ūñ

    ye ḳhadsha barmalā lekin vo sharmīlī nigāheñ rāhat-e-jāñ haiñ

    simaTtī haiñ to kaale pāniyoñ ḳhauf baḌhtā hai

    bikhartī haiñ to sho.ale se lapakte haiñ

    vo yaḳh-basta nigāheñ sard rātoñ tarah

    mere lahū chāñdnī se ḳhvāb sūrat gurezāñ

    tah-ba-tah tārīkiyoñ meñ raushnī ik karan jaise

    biphartī lahar ke girdāb meñ be-bādbāñ kashtī

    kisī shāna-e-sahrā meñ bahtā ḳhūb-sūrat phuul

    murjhāne se pahle dil-e-girafta

    ḳhvāhishoñ meñ zard pattoñ udāsī

    hasrateñ takmīl jhankār se aarī

    muqaddar ḳhūn-āshāmī

    wo paiwasta nigahen apne sine mein utar jaen

    tarasti aatma ko lamha-bhar to chain aa jae

    bikharti saaten phir ek nuqta mein simaT jaen

    machalti chandi kohsar ke daman pe lahrae

    falak ke nilgun sagar sarapa nur ban jaen

    magar main ne suna hai chandni jab yun utarti hai

    to nile paniyon mein gunjti maujen ulajhti hain

    ujale tirgi se aa lipaTte hain to ujle pairahan bhi bhig jate hain

    kahin aisa na ho koi ubharti mauj bal khati daman bhigo de

    aur main mahrumiyon ki kashtiyon mein sahilon se dur ho jaun

    ye KHadsha barmala lekin wo sharmili nigahen rahat-e-jaan hain

    simaTti hain to kale paniyon ka KHauf baDhta hai

    bikharti hain to shoale se lapakte hain

    wo yaKH-basta nigahen sard raaton ki tarah

    mere lahu ki chandni se KHwab ki surat gurezan

    tah-ba-tah tarikiyon mein raushni ki ek karan jaise

    bipharti lahar ke girdab mein be-baadban kashti

    kisi ka shana-e-sahra mein bahta KHub-surat phul

    murjhane se pahle dil-e-girafta

    KHwahishon mein zard patton si udasi

    hasraten takmil ki jhankar se aari

    muqaddar KHun-ashami

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 169)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now