duji tapasya kaise hogi
gyaan dhyān ke peḌ ke nīche
gautam kī sī
āltī-pāltī maare baiThā soch rahā huuñ
jag kyā shai hai
dukh kyā hai
jag jīvan kyā hai
gautam annyā.e kā bairī
gautam jo bhagvān banā
gautam jo bhūkā pyāsā thā
jis kā pahlā gyaan yahī thā
bhūkā pyāsā koī manush bhī
kisī gyaan kī thaah na paa.e
gautam rāj-mahal kā paalā
jis ke saiñkaḌoñ chākar bhikshū
chhupe chhupā.e
har pal us ko dekh rahe the
pahlī tapasyā ḳhatm huī to
saiñkaḌoñ chākar bhaag ke pahuñche
gautam apne chākar bhikshū dekh ke ḳhush thā
taaza phaloñ kā ras pī kar phir gyaan dhyān meñ Duub gayā
gyaan dhyān ke peḌ ke nīche
gautam kī sī
āltī-pāltī maare baiThā soch rahā huuñ
pahlī tapasyā ḳhatm huī to
kaun sā chākar kaun sā bhikshū
phal-ras kī kuchh būñdeñ degā
duujī tapasyā kaise hogī
gyan dhyan ke peD ke niche
gautam ki si
aalti-palti mare baiTha soch raha hun
jag kya shai hai
dukh kya hai
jag jiwan kya hai
gautam annyae ka bairi
gautam jo bhagwan bana
gautam jo bhuka pyasa tha
jis ka pahla gyan yahi tha
bhuka pyasa koi manush bhi
kisi gyan ki thah na pae
gautam raj-mahal ka pala
jis ke sainkaDon chaakar bhikshu
chhupe chhupae
har pal us ko dekh rahe the
pahli tapasya KHatm hui to
sainkaDon chaakar bhag ke pahunche
gautam apne chaakar bhikshu dekh ke KHush tha
taza phalon ka ras pi kar phir gyan dhyan mein Dub gaya
gyan dhyan ke peD ke niche
gautam ki si
aalti-palti mare baiTha soch raha hun
pahli tapasya KHatm hui to
kaun sa chaakar kaun sa bhikshu
phal-ras ki kuchh bunden dega
duji tapasya kaise hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.