ammī abbā kaise haiñ
TeḌhe haiñ yā sīdhe haiñ
gum-sum rahne vaale haiñ
bāteñ karne vaale haiñ
zehn-o-dil ke kaise haiñ
garm haiñ yā phir ThanDe haiñ
pyaar luTāne vaale haiñ
aañkh dikhāne vaale haiñ
naaz uThāne vaale haiñ
DaañT pilāne vaale haiñ
dillī meñ kyoñ rahte haiñ
dillī meñ kyā karte haiñ
khānā kaun banātā hai
un ko kaun khilātā hai
kin se bāteñ karte haiñ
kin kī bāteñ sunte haiñ
tanhā kaise rahte haiñ
tanhā.ī kyoñ sahte haiñ
kyoñ sunday meñ aate haiñ
uncle jaise lagte haiñ
sunday meñ bhī sote haiñ
chhuTTī ko bhī khote haiñ
ammī un se bolo nā
hoñT zarā tum kholo nā
bolo un se paas raheñ
ham se bhī kuchh baat kareñ
ham logoñ kā haal suneñ
apnī koī baat kaheñ
bolo nā ki chust raheñ
aise bhī na sust raheñ
ham ko le kar shahr chaleñ
ghūmeñ phireñ aur mauj kareñ
ham meñ kaisī duurī hai
ye kaisī majbūrī hai
ammi abba kaise hain
TeDhe hain ya sidhe hain
gum-sum rahne wale hain
baaten karne wale hain
zehn-o-dil ke kaise hain
garm hain ya phir ThanDe hain
pyar luTane wale hain
aankh dikhane wale hain
naz uThane wale hain
DanT pilane wale hain
dilli mein kyon rahte hain
dilli mein kya karte hain
khana kaun banata hai
un ko kaun khilata hai
kin se baaten karte hain
kin ki baaten sunte hain
tanha kaise rahte hain
tanhai kyon sahte hain
kyon sunday mein aate hain
uncle jaise lagte hain
sunday mein bhi sote hain
chhuTTi ko bhi khote hain
ammi un se bolo na
honT zara tum kholo na
bolo un se pas rahen
hum se bhi kuchh baat karen
hum logon ka haal sunen
apni koi baat kahen
bolo na ki chust rahen
aise bhi na sust rahen
hum ko le kar shahr chalen
ghumen phiren aur mauj karen
hum mein kaisi duri hai
ye kaisi majburi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.