dahshat-e-fardā nahīñ hai dosh kā mātam nahīñ
phuul merī aañkh kā minnat-kash-e-shabnam nahīñ
terā ġham jab dil meñ baaqī hai to koī ġham nahīñ
sub.h-e-nazzāra se shab-hā-e-judā.ī kam nahīñ
ishq hai to koī mausam hijr kā mausam nahīñ
tū nahīñ to kyā tasavvur kī fusūñ-kārī to hai
din ke hangāme to haiñ rātoñ kī bedārī to hai
husn ke chashmoñ se faiz-e-dilbarī jaarī to hai
saf.ha-e-taḳh.īl par yādoñ kī gul-kārī to hai
kaun sā aalam hai jo dīdār kā aalam nahīñ
zehn meñ haiñ zinda vo guzre hue ayyām abhī
jhilmilāte haiñ tasavvur meñ vo sub.h-o-shām abhī
raqs meñ paimāna hai ḳhālī nahīñ haiñ jaam abhī
dil hai sarmast-e-ḳhumār-e-bāda-e-gulfām abhī
ek lamhe ko bhī bazm-e-ārzū barham nahīñ
tere ġham se yuuñ qarār-e-zīst hai hāsil mujhe
chain se nā-āshnā rakhtā hai soz-e-dil mujhe
dard ne jaanā hai lutf-e-ḳhās ke qābil mujhe
tū ne kar rakkhā thā apne aap se ġhāfil mujhe
duur hoñ tujh se to koī chiiz bhī mub.ham nahīñ
dahshat-e-farda nahin hai dosh ka matam nahin
phul meri aankh ka minnat-kash-e-shabnam nahin
tera gham jab dil mein baqi hai to koi gham nahin
subh-e-nazzara se shab-ha-e-judai kam nahin
ishq hai to koi mausam hijr ka mausam nahin
tu nahin to kya tasawwur ki fusun-kari to hai
din ke hangame to hain raaton ki bedari to hai
husn ke chashmon se faiz-e-dilbari jari to hai
safha-e-taKHil par yaadon ki gul-kari to hai
kaun sa aalam hai jo didar ka aalam nahin
zehn mein hain zinda wo guzre hue ayyam abhi
jhilmilate hain tasawwur mein wo subh-o-sham abhi
raqs mein paimana hai KHali nahin hain jam abhi
dil hai sarmast-e-KHumar-e-baada-e-gulfam abhi
ek lamhe ko bhi bazm-e-arzu barham nahin
tere gham se yun qarar-e-zist hai hasil mujhe
chain se na-ashna rakhta hai soz-e-dil mujhe
dard ne jaana hai lutf-e-KHas ke qabil mujhe
tu ne kar rakkha tha apne aap se ghafil mujhe
dur hon tujh se to koi chiz bhi mubham nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.