dusra janm
udāsī ghanī aur gahrī udāsī kā saaya
shagūfoñ kī sargoshiyāñ
chand chehroñ ke ḳhāke
nigāhoñ ke mauhūm se dā.eroñ meñ koī ajnabī be-zabāñ raushnī
ye na fardā na maujūd
ye munqalib ho rahā hai jo lamha
agar ye amal hai to sirf amal hai
lab-e-jū-e-mai ḳhāmushī
aur said-e-fuġhāñ koī harf-e-takallum
kahīñ rahguzar par mire chashm-o-lab
aur āvāz se raushnī kī kashākash
bahut fāsla hai mire aur mere tasavvur ke sāhil meñ
us se pare ik jahān-e-digar hai
lab-e-jū-e-mai ġharq-e-āfāq huuñ
dūsrī baar shāyad janm le rahā huuñ
udasi ghani aur gahri udasi ka saya
shagufon ki sargoshiyan
chand chehron ke KHake
nigahon ke mauhum se daeron mein koi ajnabi be-zaban raushni
ye na farda na maujud
ye munqalib ho raha hai jo lamha
agar ye amal hai to sirf amal hai
lab-e-ju-e-mai KHamushi
aur said-e-fughan koi harf-e-takallum
kahin rahguzar par mere chashm-o-lab
aur aawaz se raushni ki kashakash
bahut fasla hai mere aur mere tasawwur ke sahil mein
us se pare ek jahan-e-digar hai
lab-e-ju-e-mai gharq-e-afaq hun
dusri bar shayad janm le raha hun
- Book : Lambi Barish (Pg. 96)
- Author : Balraj Komal
- Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.