dusra janm
ye janm maiñ ne mulāqāt meñ guzār diyā hai
vaqt ke devtā ne
mujhe zindagī jiine kā kahā lekin
vo nahīñ jāntā banjar zindagī ko jiinā
mujh jaise bikhre logoñ ke
bas meñ nahīñ
din-bhar nadī ke kināre khaḌe ho kar
sochnā kab saarā paanī apnī manzil
ko pahuñchegā aur maiñ nadī ke
us paar kisī aise insān se milūñgā
jo merī banjar zindagī meñ
mohabbat kī fasl ugaa.e
ḳhudā pahāḌoñ par baiTh kar merā
tamāshā dekhtā rahtā hai
shāyad mujhe ab dūsre janm kā
intizār karnā chāhiye
yā shāyad apne qalam se banjar zindagī ko
sairāb karne kī koshish
meñ ḳhud kī unglī pakḌe chaltā rahtā huuñ
har roz ye shaam mere ġham kā sog
manātī hai mere saath Table par baiTh kar
bikhre bāloñ ke saath vo bhī
merī mulāqāt kā intizār kartī hai
din ḳhatm hone ke baa'd kisī beva kī tarah
ġham-zada ho kar ruk gayā hai
vo thak chukā hai mulāqāt ke intizār meñ
raat ab mere dūsre janm tak
sub.h na karne kī zid kar rahī hai
havā mere kānoñ meñ kah ga.ī hai
mujhe agle janm kī tayyārī karnī chāhiye
vo mulāqāt jo kabhī huī hī nahīñ
us ne mujhe kitnā thakā diyā hai
ye janm main ne mulaqat mein guzar diya hai
waqt ke dewta ne
mujhe zindagi jine ka kaha lekin
wo nahin jaanta banjar zindagi ko jina
mujh jaise bikhre logon ke
bas mein nahin
din-bhar nadi ke kinare khaDe ho kar
sochna kab sara pani apni manzil
ko pahunchega aur main nadi ke
us par kisi aise insan se milunga
jo meri banjar zindagi mein
mohabbat ki fasl ugae
KHuda pahaDon par baiTh kar mera
tamasha dekhta rahta hai
shayad mujhe ab dusre janm ka
intizar karna chahiye
ya shayad apne qalam se banjar zindagi ko
sairab karne ki koshish
mein KHud ki ungli pakDe chalta rahta hun
har roz ye sham mere gham ka sog
manati hai mere sath Table par baiTh kar
bikhre baalon ke sath wo bhi
meri mulaqat ka intizar karti hai
din KHatm hone ke ba'd kisi bewa ki tarah
gham-zada ho kar ruk gaya hai
wo thak chuka hai mulaqat ke intizar mein
raat ab mere dusre janm tak
subh na karne ki zid kar rahi hai
hawa mere kanon mein kah gai hai
mujhe agle janm ki tayyari karni chahiye
wo mulaqat jo kabhi hui hi nahin
us ne mujhe kitna thaka diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.