dusri nazm
siyāh rātoñ ke be amaañ rāstoñ pe chhiTke hue ye chehre
ki jaise patjhaḌ meñ bikhar ga.e hoñ
bas in kī bechain zaḳhm-ḳhurda sī putliyoñ meñ raqam hai baaqī
jo ghūmtī haiñ jo muntazir haiñ
mare zamāne meñ phal nahīñ haiñ faqat aḳhzāñ ke zavāl haiñ aur aise tūfāñ ki dekhte dekhte hazāroñ
daraḳht jaḌ se ukhaḌ ga.e haiñ ummīd nā-āshnā diloñ meñ
jo dard hai raaz bin chukā hai, jo lafz haiñ ujaḌ rahe haiñ
mujhe is apnī ḳhizāñ meñ jo chiiz yaad hai vo har ek rāste
maiñ an-ginat putliyoñ kī gardish kā karb jaise
hazār-hā mom-battiyāñ jo mire badan aur merī āñkhoñ
ko chhū kar ke bujhtī huuñ aur añdhere ko mere andar utārtī huuñ
ye putliyāñ jin meñ ghūmte aur Dūbte haiñ sabhī sitāre
ye āsmānoñ ke takne vaale tabāh chehre
niDhāl ke tajarbe ko muraqqaoñ meñ saf ba saf muntazir haiñ meñh ke
jo un kī pāmāliyoñ ko dho kar safed kar de
jale bujhe aur ḳhaam rañgoñ kī chīq-lish se jagah jagah shiq
ye marg amboh jis kī tā meñ dabī huī aag kī harārat
hai āḳhirī faisloñ kā mausam ki ā.īna vaar meñ yahāñ pe
ḳhud apne chehre ko DhūñDhtā phir rahā huuñ shāyad kho chukā huuñ
shāyad aaj bhī
sub.h huī aur na.ī na.ī ummīdeñ jāgeñ
shāyad aaj bhī sūraj apnī puurī tābānī se chamke
shāyad dil moh lene vaalī koī sūrat jaate jaate
muḌ kar dekhe
rūkhī sūkhī bhī ne.amat se baḌh kar maza de
shāyad aaj bhī koī mujhe phir paas biThā le
an-honī mīrās yahī haiñ duniyā bhar kī ma.amūlī bāteñ
har din kitnā nayā magar utnā hī purānā
vahī haiñ saare raste aur gardish meñ āñkheñ
sūiyāñ aur miTTī ke pyāle
sadā hī mañgte haath kabhī na thakte paañv
bar juuñ vaale shahr sabhī makḌī ke jaale
aur miTTī kī nañgī bhūkī sadiyoñ gaañv
shāyad aaj bhī pal do pal ko
duniyā kī har baat lage jaise in mil bejoḌ fasāna
aag kī koñpal jaisī sub.h meñ
kaun sirhāne baiThā mujh se
hañs hañs kar bāteñ kartā hai
kitnā raushan ḳhvāb ye mere saath uThā hai
kahne ko dekhā hai kyā kyā
lekin phir bhī
jaane kyā kuchh dar-parda hai
shāyad aaj samajh meñ aa.e kyā dekhā hai kyā dhokā hai
kitnī ummīdoñ par qaa.em
hai ye duniyā aur yahīñ par
kisī taraf konoñ khudroñ meñ
apnī havā meñ ham bhī tum bhī
jaise aaj ho sab kuchh daa.im
ek zarā jī bahlā to phir kyā kyā kuchh lagtā hai sachchā
saare jaal suhāne saarā yahāñ kā karnā bharnā achchhā
shāyad aaj bhī
siyah raaton ke be aman raston pe chhiTke hue ye chehre
ki jaise patjhaD mein bikhar gae hon
bas in ki bechain zaKHm-KHurda si putliyon mein raqam hai baqi
jo ghumti hain jo muntazir hain
mare zamane mein phal nahin hain faqat aKHzan ke zawal hain aur aise tufan ki dekhte dekhte hazaron
daraKHt jaD se ukhaD gae hain ummid na-ashna dilon mein
jo dard hai raaz bin chuka hai, jo lafz hain ujaD rahe hain
mujhe is apni KHizan mein jo chiz yaad hai wo har ek raste
main an-ginat putliyon ki gardish ka karb jaise
hazar-ha mom-battiyan jo mere badan aur meri aankhon
ko chhu kar ke bujhti hun aur andhere ko mere andar utarti hun
ye putliyan jin mein ghumte aur Dubte hain sabhi sitare
ye aasmanon ke takne wale tabah chehre
niDhaal ke tajarbe ko muraqqaon mein saf ba saf muntazir hain meinh ke
jo un ki pamaliyon ko dho kar safed kar de
jale bujhe aur KHam rangon ki chiq-lish se jagah jagah shiq
ye marg amboh jis ki ta mein dabi hui aag ki hararat
hai aaKHiri faislon ka mausam ki aaina war mein yahan pe
KHud apne chehre ko DhunDhta phir raha hun shayad kho chuka hun
shayad aaj bhi
subh hui aur nai nai ummiden jagen
shayad aaj bhi suraj apni puri tabani se chamke
shayad dil moh lene wali koi surat jate jate
muD kar dekhe
rukhi sukhi bhi neamat se baDh kar maza de
shayad aaj bhi koi mujhe phir pas biTha le
an-honi miras yahi hain duniya bhar ki mamuli baaten
har din kitna naya magar utna hi purana
wahi hain sare raste aur gardish mein aankhen
suiyan aur miTTi ke pyale
sada hi mangte hath kabhi na thakte panw
bar jun wale shahr sabhi makDi ke jale
aur miTTi ki nangi bhuki sadiyon ganw
shayad aaj bhi pal do pal ko
duniya ki har baat lage jaise in mil bejoD fasana
aag ki konpal jaisi subh mein
kaun sirhane baiTha mujh se
hans hans kar baaten karta hai
kitna raushan KHwab ye mere sath uTha hai
kahne ko dekha hai kya kya
lekin phir bhi
jaane kya kuchh dar-parda hai
shayad aaj samajh mein aae kya dekha hai kya dhoka hai
kitni ummidon par qaem
hai ye duniya aur yahin par
kisi taraf konon khudron mein
apni hawa mein hum bhi tum bhi
jaise aaj ho sab kuchh daim
ek zara ji bahla to phir kya kya kuchh lagta hai sachcha
sare jal suhane sara yahan ka karna bharna achchha
shayad aaj bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.