etirafat
tū un laḌkiyoñ meñ se thī
jin se mil kar
ragoñ meñ havas phaḌphaḌātī phire
mujhe terī ḳhvāhish thī
aur tujh ko merī
mire haath ne tere hāthoñ se
tere badan se
ka.ī baar bāteñ bhī kiiñ
tire jism kī narm ḳhāmoshiyāñ
mujh ko tarġhīb ke jangaloñ meñ bulātī rahīñ
un ghane rāstoñ se pare
sabz paanī kā chashma chamaktā thā
par us ke nazdīk sang-e-sazā se udhar
terī chāhat kī had aa ga.ī thī
mohabbat kā da.avā tujhe ab bhī hai
par tujhe pyaar karnā na aayā kabhī
tū ne jaanā nahīñ
ki mohabbat meñ chalnā hai ruknā nahīñ
is meñ sab kuchh gañvānā hai
paanā nahīñ
haañ ye kuchh aur hī baat hai
tū nahīñ jāntī thī
ki gar pyaar kartī bhī tū
tab bhī maiñ
tere māthe pe dhoke kī kālak lagātā
tujhe sabz paanī tale chhoḌ aatā
tu un laDkiyon mein se thi
jin se mil kar
ragon mein hawas phaDphaDati phire
mujhe teri KHwahish thi
aur tujh ko meri
mere hath ne tere hathon se
tere badan se
kai bar baaten bhi kin
tere jism ki narm KHamoshiyan
mujh ko targhib ke jangalon mein bulati rahin
un ghane raston se pare
sabz pani ka chashma chamakta tha
par us ke nazdik sang-e-saza se udhar
teri chahat ki had aa gai thi
mohabbat ka dawa tujhe ab bhi hai
par tujhe pyar karna na aaya kabhi
tu ne jaana nahin
ki mohabbat mein chalna hai rukna nahin
is mein sab kuchh ganwana hai
pana nahin
han ye kuchh aur hi baat hai
tu nahin jaanti thi
ki gar pyar karti bhi tu
tab bhi main
tere mathe pe dhoke ki kalak lagata
tujhe sabz pani tale chhoD aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.