earth hour
merī ḳhvāhish hai har mahīne meñ
raat ik is tarah kī ho jis meñ
shahr kī saarī battiyāñ ik saath
ek ghanTe ko chup karā dī jaa.eñ
shahr ke log chhat pe bheje jaa.eñ
un kī tāroñ se jab nazar uljhe
tab añdhere kā husn un pe khule
kahkashāñ TuuT kar gire sab pe
sab kī āñkhoñ ke zaḳhm bhar jaa.eñ
mujh ko gar intiḳhāb karnā ho
maiñ amāvas kī raat ko chun luuñ
chāñd kī ġhair hāzirī meñ ye baat
saaf shāyad ziyāda ho ham pe
apnā nuqsān kar liyā hai bahut
ham ne ījād raushnī kar ke
meri KHwahish hai har mahine mein
raat ek is tarah ki ho jis mein
shahr ki sari battiyan ek sath
ek ghanTe ko chup kara di jaen
shahr ke log chhat pe bheje jaen
un ki taron se jab nazar uljhe
tab andhere ka husn un pe khule
kahkashan TuT kar gire sab pe
sab ki aankhon ke zaKHm bhar jaen
mujh ko gar intiKHab karna ho
main amawas ki raat ko chun lun
chand ki ghair haziri mein ye baat
saf shayad ziyaada ho hum pe
apna nuqsan kar liya hai bahut
hum ne ijad raushni kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.