ehsan faramosh
Dūbne se jab bachāyā maiñ ne un ko tair ke
to visiting card apnā de ke vo kahne lage
shukriya mumkin nahīñ hai aap ke ehsān kā
phir bhī mujh se is pate par aap miliyegā zarā
dekhte hī card un kā khil gayā dil kā gulāb
chief editor the literary risāle ke janāb
dūsre din un se milne jab maiñ daftar meñ gayā
saath sofe par biThāyā chaa.e kā order diyā
phir kahā ye de ke mujh ko ek moTī sī raqam
gar qubūl uftad zahe izz-o-sharaf ai mohtaram
maiñ ne vāpas kī raqam kah ke ki hazrat shukriya
apnī ġhazloñ kā pulanda un ke aage rakh diyā
paḌh ke vo ġhazloñ ko merī bole ye tahqīr se
aap to shā.ir baḌe haiñ 'shād' 'ġhālib' 'mīr' se
'jām.ī' sāhab zarā ik aur ehsāñ kījiye
ab mujhe tālāb hī meñ Duub marne dījiye
Dubne se jab bachaya main ne un ko tair ke
to wisiting card apna de ke wo kahne lage
shukriya mumkin nahin hai aap ke ehsan ka
phir bhi mujh se is pate par aap miliyega zara
dekhte hi card un ka khil gaya dil ka gulab
chief editor the literary risale ke janab
dusre din un se milne jab main daftar mein gaya
sath sofe par biThaya chae ka order diya
phir kaha ye de ke mujh ko ek moTi si raqam
gar qubul uftad zahe izz-o-sharaf ai mohtaram
main ne wapas ki raqam kah ke ki hazrat shukriya
apni ghazlon ka pulanda un ke aage rakh diya
paDh ke wo ghazlon ko meri bole ye tahqir se
aap to shair baDe hain 'shad' 'ghaalib' 'mir' se
'jami' sahab zara ek aur ehsan kijiye
ab mujhe talab hi mein Dub marne dijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.