ehtijaj
Interesting Fact
The poem took place in Martin Luther's Atlanta, USA, while the incident took place in Los Angeles. One evening we were going somewhere when we saw a beautiful couple on the side of the road holding a banner in their hands, 'We are hungry, give us some work and feed us bread". (November 1991).
aman kī chādar meñ
bārūd aur mohlik hathiyāroñ kī gaThḌī bāñdh ke
duniyā bhar meñ bhejne vaale behis logo
apnī sāzish-gāh se bāhar jhāñk ke dekho
chehre par jānī-pahchānī be-maqsad sī kuchh tahrīreñ
thake hue pairoñ meñ bhāgte rastoñ kī sākit zanjīreñ
jaise āzādī ke ghar meñ qaid hoñ do nañgī tasvīreñ
ḳhushk laboñ par pyaas bharī talḳhī ke saare zā.iqe likkhe
ḳhālī peT ko āñkhoñ kī dahlīz pe rakkhe
sāmne ek saḌak ke moḌ pe
do zinda saa.e rote haiñ
chehre mohre rang aur nasl meñ
bilkul tum jaise hote haiñ
maile jism par andar kā ahvāl sajā.e
hāthoñ ko kashkol banā.e
aane jaane vāloñ se kahte rahte haiñ
baabā koī kaam karā lo
aur us ke badle meñ ham ko
roTī lā do
bhuuk miTā do
aman ki chadar mein
barud aur mohlik hathiyaron ki gaThDi bandh ke
duniya bhar mein bhejne wale behis logo
apni sazish-gah se bahar jhank ke dekho
chehre par jaani-pahchani be-maqsad si kuchh tahriren
thake hue pairon mein bhagte raston ki sakit zanjiren
jaise aazadi ke ghar mein qaid hon do nangi taswiren
KHushk labon par pyas bhari talKHi ke sare zaiqe likkhe
KHali peT ko aankhon ki dahliz pe rakkhe
samne ek saDak ke moD pe
do zinda sae rote hain
chehre mohre rang aur nasl mein
bilkul tum jaise hote hain
maile jism par andar ka ahwal sajae
hathon ko kashkol banae
aane jaane walon se kahte rahte hain
baba koi kaam kara lo
aur us ke badle mein hum ko
roTi la do
bhuk miTa do
- Book : جنہیں راستے میں خبر ہوئی (Pg. 467)
- Author : سلیم کوثر
- Publication : فضلی بکس ٹیمپل روڈ،اردو بازار، کراچی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.