ehtijaj
mujhe terī mohabbat kī qasam aisā na honā thā
ġham-e-darmāñ kasīr aur dard kam aisā na honā thā
amīroñ ko nisāb-e-sīm-o-zar muflis tahī-dāman
tirā dast-e-karam abr-e-karam aisā na honā thā
kahīñ dahqāñ ke siine par haiñ mohreñ fāqa-mastī kī
kahīñ taḳht-e-sikandar jāh-e-jam aisā na honā thā
kahīñ changez ke hoñToñ pe mauj-e-ḳhanda-e-rangīñ
kahīñ mazlūm kī āñkhoñ meñ nam aisā na honā thā
jabīn-e-shauq ko sajdoñ se fursat hī nahīñ miltī
kam-az-kam husn kā naqsh-e-qadam aisā na honā thā
riyā-kārī kā parcham lahlahā.e ḳhānqāhoñ par
nigūñ-sar ishq-o-mastī kā alam aisā na honā thā
hazāroñ saal guzre haiñ abhī tak terī duniyā meñ
vahī hangāma-e-lā-o-na'am aisā na honā thā
latāfat be-kasāfat kuchh nahīñ maanā magar yā-rab
sanam-ḳhāne meñ buniyād-e-haram aisā na honā thā
agar paidā hī karnā thā mujhe behis ġhulāmoñ meñ
to phir merī navā kā zer-o-bam aisā na honā thā
mujhe pās-e-ubūdiyyat hai lekin ye bhī kahne de
jahāñ terī ḳhudā.ī kī qasam aisā na honā thā
mujhe teri mohabbat ki qasam aisa na hona tha
gham-e-darman kasir aur dard kam aisa na hona tha
amiron ko nisab-e-sim-o-zar muflis tahi-daman
tera dast-e-karam abr-e-karam aisa na hona tha
kahin dahqan ke sine par hain mohren faqa-masti ki
kahin taKHt-e-sikandar jah-e-jam aisa na hona tha
kahin changez ke honTon pe mauj-e-KHanda-e-rangin
kahin mazlum ki aankhon mein nam aisa na hona tha
jabin-e-shauq ko sajdon se fursat hi nahin milti
kam-az-kam husn ka naqsh-e-qadam aisa na hona tha
riya-kari ka parcham lahlahae KHanqahon par
nigun-sar ishq-o-masti ka alam aisa na hona tha
hazaron sal guzre hain abhi tak teri duniya mein
wahi hangama-e-la-o-na'am aisa na hona tha
latafat be-kasafat kuchh nahin mana magar ya-rab
sanam-KHane mein buniyaad-e-haram aisa na hona tha
agar paida hi karna tha mujhe behis ghulamon mein
to phir meri nawa ka zer-o-bam aisa na hona tha
mujhe pas-e-ubudiyyat hai lekin ye bhi kahne de
jahan teri KHudai ki qasam aisa na hona tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.