ehtisab
jinheñ chāhte ho pasand karte ho
un kī rūhoñ ko TaTolo
sachchā.iyoñ kī girhoñ ko kholo
vahāñ bhī añdhere khañDar haiñ
vahāñ bhī vīrān manzar haiñ
vahāñ bhī zaḳhmoñ ke basere haiñ
vahāñ bhī tanhā.iyoñ ke Dere haiñ
vo bas hañste haiñ numā.ish ke liye
un kī zahr-ḳhand hañsī ko samjho
gosha-e-āfiyat unheñ milā hai
na tumheñ milegā
ki vo bhī aasī ḳhvāhishoñ ke
ki tum bhī aasī ārzuoñ ke
jinheñ chāhte ho pasand karte ho
un kī rūhoñ ko TaTolo
sachchā.iyoñ kī girhoñ ko kholo
jinhen chahte ho pasand karte ho
un ki ruhon ko TaTolo
sachchaiyon ki girhon ko kholo
wahan bhi andhere khanDar hain
wahan bhi viran manzar hain
wahan bhi zaKHmon ke basere hain
wahan bhi tanhaiyon ke Dere hain
wo bas hanste hain numaish ke liye
un ki zahr-KHand hansi ko samjho
gosha-e-afiyat unhen mila hai
na tumhein milega
ki wo bhi aasi KHwahishon ke
ki tum bhi aasi aarzuon ke
jinhen chahte ho pasand karte ho
un ki ruhon ko TaTolo
sachchaiyon ki girhon ko kholo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.