ehtiyat
us se miltā huuñ
to yuuñ mahsūs hotā hai
ki āñkheñ sang-e-arzāñ
jism sone kā magar qīmat se aarī
jaan phūloñ kī magar ḳhushbū se nā-vāqif
sadā āhang se ḳhālī
ki jaise koī bachcha bhiiḌ meñ kho jaa.e
aur rone lage
usī baa.is
maiñ us se jab bhī miltā huuñ
to apnī āñkheñ
apnā jism
apnī jaan
ghar par chhoḌ aatā huuñ
ki shaam aa.e to
ghar jaane ke qābil rah sakūñ
aur kam se kam apnī kahānī
ḳhud se jā kar kah sakūñ
us se milta hun
to yun mahsus hota hai
ki aankhen sang-e-arzan
jism sone ka magar qimat se aari
jaan phulon ki magar KHushbu se na-waqif
sada aahang se KHali
ki jaise koi bachcha bhiD mein kho jae
aur rone lage
usi bais
main us se jab bhi milta hun
to apni aankhen
apna jism
apni jaan
ghar par chhoD aata hun
ki sham aae to
ghar jaane ke qabil rah sakun
aur kam se kam apni kahani
KHud se ja kar kah sakun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.