ek aaKHiri bosa
rishtoñ kī bukārat bachāne meñ
mohabbat kaam aa ga.ī to kyā
malūl na ho
mohabbat aur duniyā ke darmiyān
ye rishta kāñch aur patthar kā
yuuñ hī banā rahegā
aa.iin to yahī Thahrā hai ki
fat.h kā parcham duniyā hī lahrā.egī
aur mohabbat
zamīn kī tah meñ chhup kar intizār karegī
duniyā ke fāsil ban jaane kā
tū pashīmān na ho
apne paimāñ ko mānind-e-habāb TūTtā dekh kar
aao mohabbat ke ḳhudā kā shukriya adā kareñ
aur ek āḳhirī bose ko mahfūz kar ke
apne apne kechuoñ kī bhiiḌ meñ kho jaa.eñ
yuuñ ki DhūñDeñ to
apnā bhī pata na paa.eñ
rishton ki bukarat bachane mein
mohabbat kaam aa gai to kya
malul na ho
mohabbat aur duniya ke darmiyan
ye rishta kanch aur patthar ka
yun hi bana rahega
aain to yahi Thahra hai ki
fath ka parcham duniya hi lahraegi
aur mohabbat
zamin ki tah mein chhup kar intizar karegi
duniya ke fasil ban jaane ka
tu pashiman na ho
apne paiman ko manind-e-habab TuTta dekh kar
aao mohabbat ke KHuda ka shukriya ada karen
aur ek aaKHiri bose ko mahfuz kar ke
apne apne kechuon ki bhiD mein kho jaen
yun ki DhunDen to
apna bhi pata na paen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.