ek akela bachcha
ghar kā ek akelā bachcha
nanhā-munnā taasī raaja
apne aap hī baiThā khele
aap hī hañs le aap hī role
paapā bhī haiñ aur mammy bhī
lekin unheñ nahīñ hai chhuTTī
us ke uThne se pahle hī
paapā jaate haiñ taḌke hī
aur mammy us ko nahlā ke
khānā-dānā use khilā ke
apne kaam meñ juT jaatī haiñ
us ke haath kahāñ aatī haiñ
ab vo aur bas us ke khilaune
tanhā tanhā kitnā khele
us kī dost huā kartī thiiñ
kuchh din pahle ik daadī thiiñ
jaane kahāñ jā baiTh ga.ī haiñ
pote se kyoñ aiñTh ga.ī haiñ
dil hī dil meñ nanhā taasī
kartā rahtā daadī daadī
ik din paapā jaldī aa ke
shopping karne ko jaate the
bhāgtā aayā taasī bolā
mujh ko bhī kuchh chāhiye paapā
paapā bole kyā kuchh bolo
kahne lagā ik daadī lā do
ghar ka ek akela bachcha
nanha-munna tasi raja
apne aap hi baiTha khele
aap hi hans le aap hi role
papa bhi hain aur mammy bhi
lekin unhen nahin hai chhuTTi
us ke uThne se pahle hi
papa jate hain taDke hi
aur mammy us ko nahla ke
khana-dana use khila ke
apne kaam mein juT jati hain
us ke hath kahan aati hain
ab wo aur bas us ke khilaune
tanha tanha kitna khele
us ki dost hua karti thin
kuchh din pahle ek dadi thin
jaane kahan ja baiTh gai hain
pote se kyon ainTh gai hain
dil hi dil mein nanha tasi
karta rahta dadi dadi
ek din papa jaldi aa ke
shopping karne ko jate the
bhagta aaya tasi bola
mujh ko bhi kuchh chahiye papa
papa bole kya kuchh bolo
kahne laga ek dadi la do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.