ek aur barsat
kal raat zoroñ kī barsāt thī
āñkhoñ ke āsmān par bhī
yādoñ ke bādal chhā.e the
barsāt kī būñdeñ
aur āñkhoñ ke bādal
saath saath raat bhar baraste rahe
maano har barastī buuñd
ḳhāmoshiyoñ ko toḌtā huā
ek lafz ban ga.ī thī
donoñ ke beach guftugū
raat bhar huī thī
sub.h dekhā
āsmān saaf thā
vo khul kar muskurā rahā thā
maano us ke saare gile shikve
bah ga.e the
magar
āñkhoñ ke bādal
ab bhī jyuuñ ke tyuuñ the
vo barse to the magar
har buuñd jaise
dil ke sāgar meñ utar ga.ī thī
aur ek baar phir
dil se āñkhoñ tak kā safar tai karne ke liye
use intizār thā
to sirf
ek aur barsāt kā
kal raat zoron ki barsat thi
aankhon ke aasman par bhi
yaadon ke baadal chhae the
barsat ki bunden
aur aankhon ke baadal
sath sath raat bhar baraste rahe
mano har barasti bund
KHamoshiyon ko toDta hua
ek lafz ban gai thi
donon ke beach guftugu
raat bhar hui thi
subh dekha
aasman saf tha
wo khul kar muskura raha tha
mano us ke sare gile shikwe
bah gae the
magar
aankhon ke baadal
ab bhi jyun ke tyun the
wo barse to the magar
har bund jaise
dil ke sagar mein utar gai thi
aur ek bar phir
dil se aankhon tak ka safar tai karne ke liye
use intizar tha
to sirf
ek aur barsat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.