ek aur muhabbat
baat sirf itnī thī
ham apne farsūda jazboñ ke kāTh-kabāḌ ko bhī
ujle lafzoñ ke show-casoñ meñ sajā kar ham-kalāmī karte the
jaane kitne jismoñ ke visāl se hote hue
ek dūsre ke qarīb pahuñche the ham...!
hamārī dhulī-dhulā.ī jholiyoñ meñ jugālī kiye hue
bosoñ kī saḌāñd thī
hamāre lams ḳhudā ko chhūne kī ḳhvāhish meñ maile ho rahe the
hatheliyoñ kī chingīr meñ paḌe baasī duāoñ ke nivāle
ham se nigle na jaate the
lahū thoktī huī mohabbat ham se bichhaḌ rahī thī
aur ham muñh pher kar use ruḳhsat ke do āñsuoñ kā namak
tak na de pā rahe the
rishta, sachchā iz.hār māñgtā thā
aur hamāre paas apnī rafāqatoñ kī ta.aziyat ke liye bhī
do lafzoñ kī taufīq na thī
baat sirf itnī thī ki...
hamārī rūheñ ek dūsre se muāvanat nahīñ kar pā.īñ thiiñ
yā phir shāyad...
hamāre paas ek aur mohabbat kī gunjā.ish hī nahīñ thii!
baat sirf itni thi
hum apne farsuda jazbon ke kaTh-kabaD ko bhi
ujle lafzon ke show-cason mein saja kar ham-kalami karte the
jaane kitne jismon ke visal se hote hue
ek dusre ke qarib pahunche the ham!
hamari dhuli-dhulai jholiyon mein jugali kiye hue
boson ki saDand thi
hamare lams KHuda ko chhune ki KHwahish mein maile ho rahe the
hatheliyon ki chingir mein paDe basi duaon ke niwale
hum se nigle na jate the
lahu thokti hui mohabbat hum se bichhaD rahi thi
aur hum munh pher kar use ruKHsat ke do aansuon ka namak
tak na de pa rahe the
rishta, sachcha izhaar mangta tha
aur hamare pas apni rafaqaton ki taziyat ke liye bhi
do lafzon ki taufiq na thi
baat sirf itni thi ki
hamari ruhen ek dusre se muawanat nahin kar pain thin
ya phir shayad
hamare pas ek aur mohabbat ki gunjaish hi nahin thi!
- Book : Aik Qadeem Khayal Ki Nigrani Mein (Pg. 79)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.