ek aur sharabi sham
chalo aaj ek aur koshish hogī
phir ek shaam Duub jā.egī sharāb meñ
zindagī ke añdhere sard TukḌe
jaam meñ ghul kar hoñThoñ ke havāle hoñge
zabāñ pe thiraktī tishnagī dhīre dhīre
halq tak phail jā.egī
ḳhāmoshī kā libās pahne
kone meñ qaid tanhā.ī rihā hogī
aur nas nas meñ dauḌ kar raqs karegī
mere lahū meñ bah rahe us be-qābū shaḳhs ko
sambhālne kī mashaqqat hogī
sulagtī ruuh us kī yādoñ kī bhaap meñ
tap kar surḳh laal ho jā.egī
āñkhoñ se garm bulbule Tapakne lageñge
jām-dar-jām andarūnī ubaal
pighaltā jā.egā
jab āñkhoñ ke paimāne bilkul ḳhālī ho jā.eñge
tab us laal bistar par
merī nīndeñ tumhāre ḳhvāboñ ko
āġhosh meñ le kar so jā.egī
chalo aaj ek aur koshish hogi
phir ek sham Dub jaegi sharab mein
zindagi ke andhere sard TukDe
jam mein ghul kar honThon ke hawale honge
zaban pe thirakti tishnagi dhire dhire
halq tak phail jaegi
KHamoshi ka libas pahne
kone mein qaid tanhai riha hogi
aur nas nas mein dauD kar raqs karegi
mere lahu mein bah rahe us be-qabu shaKHs ko
sambhaalne ki mashaqqat hogi
sulagti ruh us ki yaadon ki bhap mein
tap kar surKH lal ho jaegi
aankhon se garm bulbule Tapakne lagenge
jam-dar-jam andaruni ubaal
pighalta jaega
jab aankhon ke paimane bilkul KHali ho jaenge
tab us lal bistar par
meri ninden tumhaare KHwabon ko
aaghosh mein le kar so jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.