ek buzurg shaer parinde ka tajraba
azīzo!
agar raat raste meñ aa.e
agar daana o daam kā sehr jaage
agar uḌte uḌte kisī roz tum āshiyāñ bhuul jaao
to pichhlī kahānī meñ maujūd jugnū se dhokā na khānā
kahānī, nahīñ dekhtī ġham ke nam ko
kahānī nahīñ jāntī kaif-o-kam ko
kahānī ko vahm-o-gumāñ kī kaThin raah se kaun roke
kahānī kā pairāya ḳhvāhish kā qaidī nahīñ
pairahan koī badle to badle,
kahānī badaltī nahīñ hai
azīzo!
agar raat aa.e to raste meñ paḌtī
mirī jhoñpaḌī kā diyā dekh lenā
maiñ ḳhud aḌe uḌte yahīñ par girā thā
azizo!
agar raat raste mein aae
agar dana o dam ka sehr jage
agar uDte uDte kisi roz tum aashiyan bhul jao
to pichhli kahani mein maujud jugnu se dhoka na khana
kahani, nahin dekhti gham ke nam ko
kahani nahin jaanti kaif-o-kam ko
kahani ko wahm-o-guman ki kaThin rah se kaun roke
kahani ka pairaya KHwahish ka qaidi nahin
pairahan koi badle to badle,
kahani badalti nahin hai
azizo!
agar raat aae to raste mein paDti
meri jhonpaDi ka diya dekh lena
main KHud aDe uDte yahin par gira tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.